Showing posts with label Tanha. Show all posts
Showing posts with label Tanha. Show all posts

Thursday, May 23, 2013

Mohabbat Ko Talashtay Rahay Magar




Mohabbat ko Talashtay Rahay 
Magar,,,
Tishna Lab-O-Nakamran
Aur Jab Nikalnay Lagay Koochay Se 
To Ik Sada-E-Na Aashna Aae...!!!


Monday, May 6, 2013

Qadam Qadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya




Qadam Qadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya
Pada Jab Waqat To Apno Ne Sath Chod Diya,

Qasam Khai Thi In Sitaron Ne, Sath Dene Ki
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya...!!!


Bhulaa Diyaa Hai Sab Apnoo Ne iss Tarhan Se




Bhulaa Diyaa Hai Sab Apnoo Ne iss Tarhan Se,

Jesy Ke Hum Iss Jahan Main Rehty He Nahi...!!!

Tuesday, April 16, 2013

Huamin Bhi Piyar Karny Ka Khyal Aaya



Huamin Bhi Piyar Karny Ka Khyal Aaya
Jab Bhi Khiyal Aaya Khudko Tanha Paya,

Dhondty Rahy Hum Is Dunya Me Dost
Kisi Ko Ajnab To Kisi Ko Bewafa Paya...!!!


Saturday, March 30, 2013

Darr Hai Ki Bichhar Na Jaaye Woh Shakhs Mujh Se




Darr Hai Ki Bichhar Na Jaaye Woh Shakhs Mujh Se,

Zamana Mujhe Tanha Dekhne Ke Talabgar Bahut Hai..!!


Use Pana Usy Khona Usi Ke Hijar Me Roona



Use Pana Usy Khona Usi Ke Hijar Me Roona,

Yahi Garr ISHQ Hai MOHSIN To Hum Tanha Hi Achy Hain....


Thursday, March 28, 2013

Sab Ke Hote Hue Bhi Tanhai Milti Hai





Sab ke hote hue bhi tanhai milti hai
Yaadon me bhi gham ki parchai milti hai,

Jitni bhi Duaa karte hain kisi ko pane ki
Utni hi Ziada unse Bewafai milti hai...


Ab Koi Hasrat Nhi Rahi Kisi Say Wafa Panay Ki



Ab Koi Hasrat Nhi Rahi Kisi Say Wafa Panay Ki,

Dil Is Kadar Tot Chuka Hai Ke Mujhay Sirf Tnhai Achi Lgti Hai?


Ab To Tanhai Ka Yeh Aalam Hai



Ab To Tanhai Ka Yeh Aalam Hai,

KOi Hans Ke BHi Dekhe T MuHaBBat Ka GumaN HOta Hai....


Woh Manzilain Bhi Kho Gaein




Woh manzilainn bhi kho gaein
Woh raasty bhi kho gaye,

Jo aashna se loog they
Woh ajnabi se ho gaey,

Na chand tha na chandni
Ajeeb thi woh zindagi,

Chirag they ke bujh gaey
Naseeb the ke so geya,

Yeh pouchty hain raastey
Ruke ho kis ke wasty,

Chalo tum bhi ab chalo
Woh mahrbaan toh gaye....


Subah Tanhai Shaam Tanhai




Subah tanhai, shaam tanhai
Hai zindagi ka ek naam tanhai,

Woh khud kat gaya zamane se
Bewajah hui badnaam tanhai....!!!


Wednesday, March 27, 2013

Teri Yaad Bhi Kamal Karti Hai




Teri Yaad Bhi Kamal Karti Hai
Kesey Kesey Humse Sawal Karti Hai,

Ek Pal Ko Tanha Nhi Hone Deti Mujhe
Ye Mera Kitna Khayal Karti Hai..


Tuesday, March 26, 2013

Muhabbat Mein Aisey Zamaaney Bhi Aaey




Mohabbat Mein Aisey Zamaaney Bhi Aaey,

Kabhi Roo Diyey Hum, Kabhi Muskuraaey...


Us Ney Ek Bar Kaha Tha Mujh Sy




Us Ney Eik Bar Kaha Tha Mujh Sey
Barasti Barish Sey Ishq Hai Us Ko,

So Us Ka Ishq Apnanay Ke Liay
Meri Ankhain Har Raat Barasti Hain....


Ishq Main Hum Bhi Agar Waqt Guzaari Kartay




Ishq Main Hum Bhi Agar Waqt Guzaari Kartay,

Gham Ginty Na Zakham Shumari Kartay...!!!


Tumse Milkar Tumare Jaisi Lagti Hoon




Tumse milkar tumare jaisi lagti hu
Tum lagte ho jaisi mai bhi waisi lagti hu,

Tanhaai ki aanko me judaai ke aansu liye
Aj bataaon tumare bina main kaisi lagti hu...