Showing posts with label Hindi Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Hindi Ghazals. Show all posts

Thursday, May 23, 2013

Tu Hi Yeh Mujhko Bata De Chaahun Main Ya Na




Tu hi ye Mujhko bata de, Chaahun main ya Na..
Apne tu dil ka pata de, Chaahun main ya Na

Tu hi ye mujhko bata de, Chaahun main ya Na..
Apne tu dil ka pata.. de, Chaahun main ya Na

Itna bata dun tujhko, chahat pe apni Mujhko
Yun toh nahin ikhtiyaar, phir bhi ye socha dil Ne
Ab jo laga hoon milne, poochun tujhe ekBaar..

Tu yeh mujhko bata de, Chaahun main ya Na..
Apne tu dil ka pata de, Chaahun main ya Na..

Aasi kabhi pehle hui na Thi
Khawahishein.. 
Kisi se bhi milne kina kithi Koshishein
Uljhan meri sujha de, Chahun main ya Na
Aankhon aankhon mein jata De
Chaahun main ya Na..

Mere chhote chhote Khwaab hai, Khwaabon mein geet hain
Geeton main zindagi hai, Chahat hai, preet Hai
Abhi main na dekhun khwaab Woh
Jin mein na tu mile, Le khole hoth Haine
Ab tak the jo sile

Mujhko na jitna mujhpe, Utna is dil ko Taujhpe
Hone laga aitbaar, Tanha lamho main Apne
Bunti hun tere sapne
Tujhse hua mujhko Piyar..

Poochungi tujhko kabhi na, Chaahun main ya Na
Tere Khwaabon main ab jeena, Chaahun main kyon Na..

Tu yeh mujhko bata de, Chaahun main ya Na..
Apne tu dil ka pata de, Chaahun main ya Na..


Sunn Rahaa Hai Naa Tu Roo Rahi Hun Main




Manzile Ruswaa hain, Khoyaa hai Raastaa
Aaye Le Jaaye Itnii Si Iltajaa..
Yeh Merii Zamaanat hai, tu Meri Amaanat Hai
Aaaaa...

Mujhko Iraade de, Kasme de, Waade De
Meri duaaon kaa Isharon ko Sahaare De
Dil ko Thikaane de, Naye Bahaane De
Khaabon ki Barishoon ko Mausam ke Pemaaney De..
Apni Karam ki Kar Adayein
Karde Idhar Bhi Tu Nigaahe..

Sunn Rahaa hai naa Tu Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Kiuon Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Kiuon Roo Rahi Hu Main..

Yaaraa..

Waqt Bhi Thehraa Hai..
Kaise Kyun yeh Huaa..
Kaash Tu Aese Aaye
Jaisey Koi Duaa..

Tu Rooh ki Raahat Hai
Tu Meri Ibaadat Hai
Aaa...

Apni Karam ki Kar Adayein
Karde Idhar Bhi Tu Nigaahe..

Sunn Rahaa hai naa Tu Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Kiuon Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Kiuon Roo Rahi Hu Main...!!!


Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye




Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye
Tu Jo Boly To Teri Bat Se Khushbu Aaye,

TujhKo Dekhon To Meri Aankh Mehak Si Jaye
TujhKo Sochon To Khyalaat Se Khushbu Aaye,

Tu Chambeli Hay? Nargis Hay Ke! Raat Ki Rani?
TujhKo Chu Loon To Mere Hath Se Khushbu Aaye...!!!


Kachi Basti Ke Baam-O-Dar Pay Utarti Jaary Ki Zard Shamain




Kachi Basti Ke
Baam-o-dar pay
Utarti jaary ki zard shamain,

Shafaq ki gehri udas aankhoun main
Dhery dhery simat'ta suraj
Main ballkony main sard hotay,

Golabi phoolon ko dekhta hon
Gharoun se uthty dhuwoun k badal
Fiza main tehleel ho rahy hain
Main sochta hoon,

Na jany aese udas mousam main tum kahn ho??
Chaly Bhi ao
Chaly Bhi ao,

Ke ab udasi ki shaal orrhay
Sisakty mehtaab ki nigahoun main
Yery jane ka dukh likha hai
Chale Bhi ao,

Ke ab to raahon main
Narm jugno bhi so gay hain
Chaly Bhi ao
Ke Roty Roty
Yeh Ansoun Pather Ke ho Gay Hain...!!!

Tuesday, May 21, 2013

Muhabbat Kanch Ka Soda Muhabbat Aag Ka Darya




Mohabbat kanch ka soda
Mohabbat aag ka darya,

Mohabbat june jasi hai
Mohabbat barf jasi hai,

Mohabbat raat kaali hai
Mohabbat nella musam hai,

Mohabbat kacha angan hai
Mohabbat titlion ka ghar,

Magar Phir Bhi

Mohabbat kanch ka soda
Kisi namaloom basti se,

Kisi anjan hasti se
Kisi kaghaz ki kashti se,

Kisi khirki ke manzer se
Kisi dhundli si hasrat se,

Kisi jhooti tasali se
Mohabbat ho hi jati ha...!!!


Hum Tere Bin Ab Reh Nahi Sakte Q Ke Tum Hi Ho




Hum tere bin ab reh nahi sakte
Tere bina kya wajood mera,

Tujhse juda gar ho jaayenge
Toh khud se hi ho jaayenge judaa

Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tera mera rishta hai kaisa
Ik pal door gawara nahi
Tere liye har roz hai jeete
Tujh ko diya mera waqt sabhi
Koi lamha mera na ho tere bina
Har saans pe naam tera

Kyunke tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tumhi ho... Tumhi ho...
Tere liye hi jiya main
Khud ko jo yun de diya hai
Teri wafa ne mujhko sambhala
Saare ghamon ko dil se nikala
Tere saath mera hai naseeb juda
Tujhe paake adhoora naa raha hmm..

Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho..
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho...!!!


Saturday, April 6, 2013

Ho Qasr-E-Zer Nigaar Mubarik Ho Aap Ko



Ho Qasr-E-Zer Nigaar Mubarik Ho Aap Ko

Khasta sa ek Makaan hun, Mujhe Bhool Jaaiye,

Faatih na meri Yaad mein Aansu Bahaiye
Ek Mauj-E-Rawan hun, Mujhe Bhool Jaaiye,

Mujhse Ta Umr Saath ki Tawakko na Kariye
Main Wafa nahi, Wafa ka Dhoka Hon, Mujhe Bhool Jaayie...!!!


Zamane Bhar Ki Nigahon Me Jo KHUDA Sa Lage




Zamane bhar ki nigahon mein jo KUHUDA sa lage
Woh ajnabi hai, magar Mujhko Aashna sa lage,

Najaane kab meri duniya mein Muskurayega
Woh ek shaks ke khabon mein bhi khaffa sa lage,

Ajeeb cheez hai Yaaron, Ye manzilon ki hawas
Ke Raahzan bhi Musafir ko, Rahnuma sa lage,

Dil-E-Tabaah ! tera mashwara hai kya! Ke Mujhe
Woh Phool rang sitaara bhi, Bewaffa sa lage,

Hui Hai jis se Munavar har ek Aankh ki Jheel
Woh chand aaj bhi ALISHA ko Kamnuma sa lage...!!!


Friday, April 5, 2013

Kisi Se Choot Ke Shaad Aur Kisi Se Mil Ke Gham





Kisi se choot ke shaad aur kisi se mil ke ghami
Teri muhbbat ka koi theek nahi
Yun hi-sa tha koi jisne mujhe mita dala
Na koi noor ka putlaa na koi zohara zabin,

Jo bhoolti bhi nahin yaad bhi nahi aati
Teri nigah ne kyun vo kahaniyan na kahi
Lab-E-Nigaar hai ya nagma-e-bahaar ki lau
Sakuut-saaz hai ya koi mutreeb-e-rangin,

Shuru-e-zindgi-e-ishq ka vo pehla khwab
Tumhen bhi bhool chuka hai mujhe bhi yaad nahin
Hazaar shukr ki mayyus kar diya tune
Yeh aur baat ki tujhse badi ummiden thi,

Agar badal na diya aadmi ne duniya ko
To jaan lo ki yahan aadmi ki khair nahin
Hunar toh khair hunar aib se bhi jalte ha...!!!


Thursday, April 4, 2013

Nazar mein utery jate han Gulaab ahista ahista




Nazar mein utery jate han Gulaab ahista ahista
Mohabbat ho rahi hai BeHijaab ahista ahista,

Suna ha woh kitabon m hamara naam likhty han
Tbhi to woh bhi parhty han kitaab ahista ahista,

Dilon mein dooriyan hon to mobhabbat aur barhti hai
Samajh aaye ga un ko ye hisaab ahista ahista...!!!


Wednesday, April 3, 2013

Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jaate Hain




Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jaate Hain
To Khayaalon Mein Bohut Door Nikal Jaate Hain,

Gar Wafaaon Mein Bohut Sadaaqat Bhi Ho Shiddat Bhi
Phir To Ehsaas Se Pathar Bhi Pighal Jaate Hain,

Us Ki Aankhon Ke Nash-E-Man Mai Hoon Jab Se Doobe
Larkhadaate Hain Kadam Or Sambhal Jaate Hain,

Bewafaayi Ka Mujhe Jab Bhi Khayaal Aata Hai
Ashk Rukhsaar Par Aankhon Se Phisal Jaate Hain,

Pyaar Mein Ek Hi Mausam Hai Bahaaron Kaa Ae Dost
Log Mausam Ki Tarhaan Kaise Badal Jaate Hain...!!!


Jaane Kya Hai Dil Ke Andar Jo Chupke Se Toot Raha Hai




Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai
Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai,

Ankhon mein ashkon ka samandar hai
Lagta hai jaise koi patta shaakhon se toot raha hai,

Ashkon ko Meri Aankhon mein rehne ki aadatsi ho gayi hai
Ab toh Jaise Ishq hi mujh se rooth raha hai,

Kuchh farmane ki gustakhi kya mai bhi kar sakti hoon
Ek masoom jazba mera bhi zuban se phoot raha hai,

Pal bhar ka piyar aur barson ka intezaar
Jaise koi apna hi apne ghar ko loot raha hai..!!


Tuesday, April 2, 2013

Usey Pana Tha Usey Khona Tha




Usey pana tha usey khona tha
Yeh bhi hota tha woh bhi hona tha,

Kitni dair aur us ko rona tha
Woh jo hona tha woh to hona tha,

Shayed is wastey mili aankhain
Bojh kuch aansuyon ka ddhona tha,

Kya ghazzab kar liya ankhon ne
Mujhe to tujhse chup ke rona tha,

Hum ne moti samajh liye they malik
Warna daaman kisey bhigona tha...


Itna To Mere Haal Par Ehsan Kiya Kar




Itna to mere haal par ehsan kiya kar
Ankhon se mera dard pehchan liya kar,

Kuch sath de safar me bohat thak gaya hon mein
Pal hon tere saath meri maan liya kar,

Afsaney Mohabat k adhurey na chor tu
Jurm-e-Wafa ka mujhse har bayan liya kar,

Muddat hui is AAS par thehra hua hon mein
Bhulay se kabhi tu bhi mera naam liya kar,

Kar apni zat se wabasta tu mujhe
Ho kr Khafa muj se na meri jaan liya kar...


Saturday, March 30, 2013

Har Shey Ka Soda Hota Hai Har Cheez Bikao Hoti Hai




Har Shey Ka Soda Hota Hai
Har Cheez Bikao Hoti Hai,

Har Fard Yahan Par Tajir Hai
Har Waqt Tijarat Hoti Hai,

Tum Aap Hi Apne Daam Kaho
Chup Chup K Nahi Sar-E-Aaam Kaho,

Kia Lo Gy Apni yaari Ka...?
Kia Lo Gy Tum Dildari Ka...?

Gham Khuaar Banoo Gy Kitne Main...???
Tum Piyar Karo Ge Kitne Main....


Wo Husn-E-Mujasam Kamal Os Ki Aankhain




Woh Husn-E-Mujasam, kamal Os ki Aankhain
Srapa-E-Muhabbat jamal Os ki Aankhain,

Main jab bhi pochon Sawal Os sy koe
Mujay Rooz deti hain tall Os ki Aankain,

Jo Baichay to dono jahan day ke lay lon
Woh chehra, woh Zulfain, woh Gaal, Os ki Aankhain,

Agar koe pochay ke Dunya Me kya hai?
To day ga Zamana Misaal Os ki Aankhain..


Friday, March 29, 2013

Mujhe Bhol Jaana Agar Ho Saky




Mujhe bhol jaana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake,

Rahe yaad kyon bh,l jaane ki baat
Na kabhi aansu bahana agar ho sake,

Mujhe maaf karna mere humsafar
Kahin kho gaya main tumhain kho kar,

Maine tumhain gham diya hain magar
Sada Muskurana agar ho sake,
Mujhe bhol jaana agar ho sake....


Thursday, March 28, 2013

Koi Waqat Purana Yaad Aya




Koi Waqt Purana Yaad Aya
Phir Dour Sohana Yaad Aaya,

Or Chupkay Se In dewaron Pe
Kuch Likh Kar JanaYaad Aaya,

Tera Milna Neend Ki Chaaon Mein
Or Sir Rakh Dena Kandhay Per,

Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Le
Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya,

Aisa Bhi Tu Aksar Hota Tha
Mein Tuj Ko Chorne Jata Tha,

Barish ki Bheegi Raaton Mein
Tera Hath hilana Yaad Aaya,

Wo Waqt Gaya Betay Lamhe
Ab Her Janib Tanhai Hai,

Bas Ek hi Manzar Ankhon Mein
Tera Chor Ke Jana Yaad aaya...!!!


Woh Manzilain Bhi Kho Gaein




Woh manzilainn bhi kho gaein
Woh raasty bhi kho gaye,

Jo aashna se loog they
Woh ajnabi se ho gaey,

Na chand tha na chandni
Ajeeb thi woh zindagi,

Chirag they ke bujh gaey
Naseeb the ke so geya,

Yeh pouchty hain raastey
Ruke ho kis ke wasty,

Chalo tum bhi ab chalo
Woh mahrbaan toh gaye....


Tuesday, March 26, 2013

Ek Aas Ek Ehsaas Meri Pyaas Or Bas TUM




Ek aas,
-Ek ehsaas,
-Meri pyaas,
Or
-Bas TUM...!

-Ek sawaal,
-Ek majaal,
-Tumhara khayaal,
Or
-Bas TUM...!

-Ek baat,
-Ek raat,
-Tumhara saath,
Or
-Bas TUM...!

-Ek dua,
-Ek faryaad,
-Tumhari yaad,
Or
-Bas TUM...!

-Mera junoon,
-Mera sukoon,
-Bas TUM,
Or
-Bas TUM...!
>*Sirf Tum *<