Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts
Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts

Sunday, June 2, 2013

Dil Chahta hai Zamaane Se Chhupa Loon Tujh Ko




Dil Chahta hai Zamaane Se Chhupa Loon Tujh Ko
Dil Ki Dhadhkan Ki Tarah Dil Me Basaa Loon Tujh Ko,

Koi Ehsaas Judaai Ka Na Rehne Paye
Is tarah Khud Me Meri Jaan Chhupa Loon Tujh Ko,

Tu Jo Rooth Jaye Mujh Se Mere Dil Ki Roshni
Saari Duniya Se Khafa Ho Kar Manaa Loon Tujh Ko,

Jab Bhi Mai Dekhoon Tere Chehre Pe Udaasi Ka Saya
Bas Yeh Chahoon Kisi Tarah Hasa Loon Tujh Ko,

Tu Kabhi Duniya Se Bezaar Ho Jaye To
Dil Ye Chahe Ki Bahon Me Apni Chhupa Loon Tujh Ko...!!!



Friday, May 31, 2013

Koi Zanjeer Nahi Phir Bhi Griftar Hon Main



Koi Zanjeer Nahi Phir Bhi Griftar Hon Mainm

Kiya Khabat Thi Ke Tujhy Yeh Hunar Bhi Aata Hai...!!!


Ghar Bana Ke Mere Dil Me Woh Choor Gaya



Ghar Bana Ke Mere Dil Me Woh Choor Gaya,

Na Khud Rehta Hai Na Kisi Aur Ko Basny Deta Hain...!!!


Choor Yeh Baat Mily Zakham Mujhy Kahan Se



Choor Yeh Baat Mily Zakham Mujhy Kahan Se,

Ay Zindgi Itna Bata Ke Safar Kitna Baki Hai...!!!


Tuesday, May 14, 2013

Woh Silsile Woh Shauq Woh Aadat Na Rhi




Woh Silsile woh shauq woh adat na rhi
Phir yeh huaa ke dard me Shiddat na rhi,

Apni Zindgi me ho gaye Masroof woh itne
Ke hum ko Yad krne ki unko Fursat na rhi...!!!


Monday, May 6, 2013

Yaadien Aksar Hoti Hain Satane Ke Liye




Yaadien Aksar Hoti Hain Satane Ke Liye
Koi Rooth Jaata Hai Phir Naan Jaane Ke Liye,

Rishte Nibhana Koi Muskil To Nahi
Bas Dilon Me Piyar Chahiye Use Nibhane Ke Liye...!!!


Jo Dil Se Karib Ho Use Rusva Nahi Karte




Jo Dil Se Karib Ho Use Rusva Nahi Karte
Yun Apni Muhabbat Ka Tamasha Nahi Karte,

Khamosh Rahenge To Ghutan Aur Badhengi
Apnon Se Koi Baat Chupaya Nahi Karte...!!!


Yahi Soch Kar Uski Har Baat Ko Sach Mante The




Yahi Soch Kar Uski Har Baat Ko Sach Mante The,

Ke Itne Khubsorat LAB Jhoot Kaise Bolenge...!!!


Log Kahtay Hain Ke Mera Dil Pather Ka He Dosto




Log Kahtay Hain Ke Mera "DIL" Pather Ka He
"DOSTO"
Lekin Kuch Log Aisay Bhi Thay Jo Isay Bhi "TOOR" Gay...!!!


Zindgi Aa Beth Zara Baat To Sun



Zindgi Aa Beth Zara Baat To Sun,

Muhabbat Kar Betha Hoon Koi Mashwara To De...!!!

Tuesday, April 23, 2013

Tere Qareeb Reh Kar Bhi Dil Mutmaeen Na Tha



Tere Qareeb Reh Kar Bhi Dil Mutmaeen Na Tha,

Guzri Hai Mujhpe Yeh Bhi Qayamat Kabhi Kabhi...!!!


Yeh Zmeen Ki Fitrat Hai Ke Har Cheez Ko Jazb Kar Leti Hai



Yeh Zmeen Ki Fitrat Hai Ke Har Cheez Ko Jazb Kar Leti Hai,

Warna Teri Yaad Me Mere Aansuon Ka Alag Hi Samandar Hota...!!!


Yeh Dastoor Zibaan Bandi Hai Kesa Teri Mehfil Me



Yeh Dastoor Zibaan Bandi Hai Kesa Teri Mehfil Me,

Yahan To Baat Karny Ko Tarsti Hai Zubaan Meri...!!!


Yeh Akela Pan Yeh Udasiyan Meri Zindagi Ki Hain Tarjumaan



Yeh Akela Pan Yeh Udasiyan Meri Zindagi Ki Hain Tarjumaan,

Meri Zaat Zarra-E-Benishan Meri Zaat Zarra-E-Benishan...!!!


Monday, April 22, 2013

Woh Udaas Wahan Main Bhi Udaas Yahan



Woh Udaas Wahan Main Bhi Udaas Yahan,

Kash Hum Mashvara Kar Lety Ishq Kar Leny Se Pehly...!!!


Tera Wajood Riwajon Ke Etraaf Me Hai Mera Wajood Tere Eain Sheen Kaaf Me Hai



Tera Wajood Riwajon Ke Etraaf Me Hai,

Mera Wajood Tere Eain Sheen Kaaf Me Hai...!!!


Shab-E-Hijran Me Raat Bhar Neend Hansti Hai Mujh Par Door Khari



Shab-E-Hijran Me Raat Bhar,

Neend Hansti Hai Mujh Par Door Khari...!!!


Shaam Hote Hi Nigahoon Me Utar Aaty Ho



Shaam Hote Hi Nigahoon Me Utar Aaty Ho,

Dil Ki Dharkan Tere Peron Ki Dhamak Lagti Hai...!!!


Samait Kar Le Jao Apne Jhooty Wadon Ke Adhory Qisse



Samait Kar Le Jao Apne Jhooty Wadon Ke Adhory Qisse,

Agli Muhabbat Me Tumhain Phir Inki Zroorat Paregi...!!!