Woh Mehsoos Karty Hain Saza Dard-E-Muhabbat Ki,Jo Apni Zaat Se Barh Kar Kisi Se Piyaar Karty Hain...!!!
Woh To Aisa Tha Ke Ik Aanso Girnay Ki Bhi Wajah Pocha Karta Tha,
Par Na Janay Kion Ab Ussay Barsaat Ki Pehchaan Nahi Hoti...!!!
Woh Mile Bhi Toh Faqat Khuda Ke Darbaar Mein,
Ab Tum Hi Batao Ibadat Karte Ya Muhabbat...!!!
Waqat-e-Qudrat Le Aaya Hai Aaj Humain Ussi Jagah Par,
Chal Diye Ussi Matti Main Jis Ke Hum Amanat The...!!!
Woh Ishq Bhi Tera Tha Woh Chahat Bhi Teri ThiWoh Apnane Or Thukrane ki Aadat Bhi Teri Thi,
Hum Apni Muhobbat Ka Insaaf Mangte Bhi To Kis SeWoh Shahar Bhi Tera Tha Woh Adalat Bhi Teri Thi...!!!
Woh Aansu Jo Palko Ki Zeenat Nahi BanteWoh Chupke Se Dil Mein Utar Jaya Karte Hain,
Kuch Log Apne Dukhon Ki Numaish Nahi KarteBas Khamoshi Se Hi Bikhar Jaya Karte Hain...!!!
Woh Silsile woh shauq woh adat na rhiPhir yeh huaa ke dard me Shiddat na rhi,
Apni Zindgi me ho gaye Masroof woh itneKe hum ko Yad krne ki unko Fursat na rhi...!!!
Waqat Badal Jata HainInsan Badal Jate Hain,
Waqat Waqat Pe Rishton Ke,Andaz Badal Jate Hain,
Kabhi Keh Diya ApnaKabhi Keh Diya Paraya,
Din Or Raat Ki TarahZindgi Ke Ehsas Badal Jate Hain...!!!
Woh Bachpan Bhi Kitna Haseen ThaJab Sae-E-Aam Roya Kartay Thay,
Ab Aik Aanso Gir Jaye To LogHazaro Sawal Kartay Hain...!!!
Woh Udaas Wahan Main Bhi Udaas Yahan,
Kash Hum Mashvara Kar Lety Ishq Kar Leny Se Pehly...!!!
Woh Humse Khafa The To, Jaan Nikal Gayi Thi Hamari,
Hum Unse Khafa Hain To, Unko Malaal Kuch Bhi Nahi...!!!
Woh Aaj Karta Hai Nazar Andaz To Bura Na Maan,
Toot Kar Chahnay Walon Ko Rulana Riwaj Hai Is Duniya Ka...!!!
Woh Silsile, Woh Shauq, Woh Nisbat Nahi RahiAb Zindagi Mein Hizr ki Wehshat Nahi Rahi,
Toota hai jab se usski maseehai ka tallismDil ko kisi maseeha ki hajat nahi rahi,
Phir yun hua ke koi shanasa nahi rahaPhir yun hua ke dard mein shidat nahi rahi,
Phir yun hua ke ho gaya Masroof wo bahutAur hum ko yaad karne ki fursat nahi rahi,
Ab kya kisi ko Chahain "Dedil" Humko to Inn DinoKhud apne aap se bhi Muhabbat nahi rahi...!!!
Woh Umar Bhar To Sath Na Nibha Saka Mera,
Han Yaad Ban Ke Kabhi Usne Mujhe Tanha Nahi Chora...!!!
Woh Puchti Hai Mujse "Tum MujheItna Piyaar Kyun Krte Ho..??"
Mene Kaha Ek Tamannna HeTumhe Pane Ki,
Woh Puchti Hai "Har Waqat KyunUdas Rehte Ho..??''
Mene Kaha Koshish He Tumhe HarKhushi Dilane Ki,
Woh Kehti Hai "Me Na Mili To..??"
Mene Kaha To Koshish KarungaZindgi Mitane Ki...!!!
Woh Karte Hen Baat Muhabbat KiPar Muhabbat Ke Dard Ka Unhe Ehsas Nhi,
Muhabbat Woh Chand Hy Jo, Dikhta Hy SabKoPar Usy Pana Sb Ke Bas Ki baat Nhi...!!!
Woh Kehta Hai Bata Dard Tera Kaise Main Samjhon?
Main Ne Kaha Ishq Kar, Or Kar ke Haar Jaa...!!!
Woh Meri Dunia Tha Lekin Kismat Me Nahi Tha"Kash"Ke Woh Mera Kuch Na Hota Bus Meri Kismat Hota.
Woh Dharkanon Ki Dhamak Say Larznay Lagay Hain,
Galay Say Kesy Lgaoun, Woh Itny Nazukk Hain...!!!
Wafa Ke Shehr Mein QEHAT-E-WAFA Hai Shayad,
Hazaron Fard Hain Lekin, Koi Apna Nahi Milta...!!