Showing posts with label Judai. Show all posts
Showing posts with label Judai. Show all posts

Sunday, June 2, 2013

Meri Mohabbat Ki Itni Si Kahani Hai



Meri "Mohabbat" ki itni Si kahani Hai
Dobi Hui "Kashti" Roka Huaa "Pani" Hai,
 

Ik "Gulab" unki "Kitab" may "Dam" Toord Chuka Hai
Unhay Yaad Bhi nahi Yeh Kis ki "Nishani" Hai...!!!


Missing You My Love....


Har Baar Muqadar Ko Kasoor Dena Achi Baat Nahi



Har baar Muqadar ko Kasoor dena achi Baat Nahi,

Kabhi Kabhi hum Unhe Mang lete hain jo Kisi Or ke Hote Hein...!!!



Thursday, May 23, 2013

Yoon Hi Baaton Hi Baaton Main Mujhe Us Nay Bataya Tha




Yoon hi Baaton hi Baaton main
Mujhe us nay Bataya tha,

Mohhabat kernay walay piyar main Dhoka nahi Kertay
Koi jab baat kerta ho usay Toka nahi Kertay,

Jisay janay ki Jaldi ho usay Roka nahi Kertay
Yoon hi Baaton hi Baaton Main,

Mujhe ab Yaad aaya Hai
Usay Janay ki Jaldi Thi...!!!


Chalo Kuch Dair Hanstey Hain Muhabbat Par Inayat Par




Chalo kuch dair hanstey hain
Mohabbat per inayat per,

Ke be Bunyad batain hain,
Sabhi rishtay sabhi naatey,

Zarurat ki hain Ejaaden,
Kahin koi nahi marta kisi ke Wastay Jaana,

Ke sub hai phair lafzon ka,
Hai saara khel Harfon ka,

Na hai Mehboob koi bhi,
Mohabbat na Zmaney main,

Praey bhi hain phir apney,
Agr hai kuch Khzaney main,

Ke is Jazbay pay ab aksar sabhi jumlay say kastay hain,

Chalo kuch dair hanstay hain...

Usi ko Yad krtay hain,
Jisay hum Zeest kehtey thay,

Ke lena saans bin jis k hamain ek jurm lagta tha,
Ke sung jis ke her ek lamha Khush-O-Khurm lagta tha,

Jisay hum zindgi kehtey,
Jisay thay sha'iry kehtey,

Ghazal ka Qafiya tha jo,
Nazm ka jo ke Unwan tha,

Woh lehja jb Bdalta tha Qyamat khez lagta tha,

Waqat say agay chalta tha,
Bla ka tez lagta tha,

Jo saya bun k rahta tha,
Juda ab is ke rastay hain....

Chalo kuch dair hanstay hain..
Chalo kuch dair hanstay hain...!!!

Wednesday, May 22, 2013

Yeh Dard Ka Toofan Guzarta Q Nahi




Yeh Dard Ka Toofan Guzarta Q Nahi
Dil Toot Gaya Hai To Bikharta Q Nahi,

Ek Hi Shakhs Ko Chahte Hain Q Itna
Koi Doosra Iss Dil Me Utarta Q Nahi...!!!


Agar Woh Zindagi Main Faqat Ek Bar Mera Ho Jata





Agar Wo Zindagi Main Faqat Ek Bar Mera Ho Jata
"Aye Dost"
To Main Zamane Bhar Ki Kitabon Se Lafz Bewafai Hi Mita Deta...!!!


Tuesday, May 21, 2013

Chalay Bhi Aao Ke Tum Bin Guzara Nhi Hota




Chalay bhi Aao ke tum bin Guzara nhi hota
Koi Pal aisa nhi jab tum ko Pukara nhi hota,

Guzar jaye jo Teri Yaad ke Bagair
Kasam se woh din Humara nhi hota...!!!


Monday, May 20, 2013

Karoge Yaad Ek Din Is Piyar Ke Zamane Ko




Karoge Yaad Ek Din Is Piyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Wapas Aane Ko,

Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhai Dhundoge Aansu Bahane Ko...!!!


Hum Ruth Jaye To Manane Ka Wada Kiya Tha




Hum Ruth Jaye To Manane Ka Wada Kiya Tha
Hum Dur Jaye To Bhulane ka Wada Kiya Tha,

Aaj Palkon Pe Aasoo Bhar Diye
Jisne Zindagi Bhar Hasane Ka Wada Kiya Tha...!!!

Door Na Jaya Karo Dil Tadap Jata Hai




Door Na Jaya Karo Dil Tadap
Jata Hai,

Tere Hi Khayalon Mein Din
Guzar Jata Hai,

Aaj Pucha Hai Dil Ne Ek
Sawal Tum Se,

Kya Door Reh Kar Tumko
Humara Khayal Aata Hai...???

Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khyaal Unka




Dil ko aata hai jab bhi Khyaal
Unka
Tasvir se puchte hain phir Haal
Unka,

Woh kabhi humse pucha karte the
Judaai kya hai
Aaj Samajh aaya hai Sawaal
Unka...!!!


Friday, May 17, 2013

Ab To Hum Tere Liye Ajnabi Ho Gaye





Ab to hum tere liye ajnabi ho gaye
Baaton ke silsile bhi kam ho gaye,

Khushiyon se Ziyada hamare paas gham ho gaye
Kiya pata yeh waqat bura hai ya bure hum ho gaye...!!!


Humse Pocho Kya Hota Hai Pal Pal Bitana




Humse pucho kya hota hai pal pal bitana
Bahut mushkil hota hai dil ko samjana,

dosto zindagi to beet hi jayegi
Bus mushkil hota hai kuch logo ko bhul pana...!!!


Thursday, May 16, 2013

Dil Ki Dhadkanon Ko Ek Lamha Sabar Nahi




Dil Ki Dhadkanon Ko ek lamha sabar nahi
Shayad ke us ko ab meri kadar nahi,

Har safar mein mera kabhi hamsafar tha woh
Ab safar to hai magar woh hamsafar nahi...!!!


Mat Puch ke Kis Tarah Se ChaL Rahi Hai Zindagi




Mat Puch ke Kis Tarah Se ChaL Rahi Hai Zindagi,

Us Daur Se Guzar Rahe Hain Jo Guzarta He Nahi...!!!!

Bichar Kar Humse Phir Kisi Ke Bhi Na Ho Sako Gey Tum




Bichar Kar Humse Phir Kisi Ke Bhi Na Ho Sako Gey Tum,

Milo Gey Sub Say Magar Hamari Hi Talash Main...!!!



Wednesday, May 15, 2013

Tot Ke Bikhar Gaye Hum Jab Unhon Ne Dor Jane Ko Kaha




Tot ke Bikhar gaye Hum
Jab Unhon Ne Dor jane Ko
Kaha...!!!

Ek Pal me Humse Bichhad
Jane ko kaha...!!!

Jante hain Hum un ke
Inkaar ka Matlab...!!!

Khamosh Lafzo me
Unhone Mar jane ko
Kaha...!!!