Showing posts with label Two Lines SMS. Show all posts
Showing posts with label Two Lines SMS. Show all posts

Sunday, June 2, 2013

KHUDA Kare Ke Saari umar Humain Manzil Naa Mile



KHUDA Kare Ke Saari umar Humain Manzil Naa Mile,

Badi Muskil Se Woh Raazi Hue Hain Saath Chalne Ko...!!!



Ik Pal Me Barbaad Kar Dete Hain Jo Dil Ki Basti Ko



Ik Pal Me Barbaad Kar Dete Hain Jo Dil Ki Basti Ko,

Woh Loog Dekhne Me Aksar Maasoom Huaa Karty Hain...!!!


Piyar Me Koi Dil Toord Deta Hai



Piyar me koi dil toord deta hai
Dosti me koi to Bharosa Toord deta hai,

Zindagi jina to koi Gulaab se sikhe
Jo khud Toot kar do dilon ko Joord deta hai...!!!


The Things That Always Breaks My Heart.....


Har Baar Muqadar Ko Kasoor Dena Achi Baat Nahi



Har baar Muqadar ko Kasoor dena achi Baat Nahi,

Kabhi Kabhi hum Unhe Mang lete hain jo Kisi Or ke Hote Hein...!!!



Friday, May 31, 2013

Tabeeb Kehty Hain Ke Main Bach Jaonga Parheiaz Yeh Ke Usy Bhoolna Hoga



Tabeeb Kehty Hain Ke Main Bach Jaongam,

Parheiaz Yeh Ke Usy Bhoolna Hoga...!!!


Milaingi Humko Bhi Apny Naseeb Ki Khushyan



Milaingi Humko Bhi Apny Naseeb Ki Khushyan,

Bas Intzaar Hai Ke Kab Yeh Kamal Hona Hai...!!!


Koi Zanjeer Nahi Phir Bhi Griftar Hon Main



Koi Zanjeer Nahi Phir Bhi Griftar Hon Mainm

Kiya Khabat Thi Ke Tujhy Yeh Hunar Bhi Aata Hai...!!!


Hazaar Cheroon Me Teri Muhabbatain Milti Hain Mujhko



Hazaar Cheroon Me Teri Muhabbatain Milti Hain Mujhko,

Par Dil Ki Zid Hai Tu Mily Tujh Jesa Bhi Nahi...!!!

Ghar Bana Ke Mere Dil Me Woh Choor Gaya



Ghar Bana Ke Mere Dil Me Woh Choor Gaya,

Na Khud Rehta Hai Na Kisi Aur Ko Basny Deta Hain...!!!


Choor Yeh Baat Mily Zakham Mujhy Kahan Se



Choor Yeh Baat Mily Zakham Mujhy Kahan Se,

Ay Zindgi Itna Bata Ke Safar Kitna Baki Hai...!!!


Monday, May 27, 2013

Shikayat Hai Unhe Ki Mujhe Muhabbat Karni Nahi Aati



Shikayat Hai Unhe Ki Mujhe Mohabbat Karni Nahi Aati,

Shikwaa To Hum Ko Bhi Hai MAGAR.! Humein Shikayat Karni Nahi Aati...!!!


Unhone Kaha Muhabbat Ka Sagar Bohat Gehra Hai



Unhone Kaha Muhabbat Ka Sagar Bohat Gehra Hai,
"Aftab"
Humne Kaha Dubnne Wale Kbhi Socha Nahi Karte...!!!


Woh To Aisa Tha Ke Ik Aanso Girnay Ki Bhi Wajah Pocha Karta Tha



Woh To Aisa Tha Ke Ik Aanso Girnay Ki Bhi Wajah Pocha Karta Tha,

Par Na Janay Kion Ab Ussay Barsaat Ki Pehchaan Nahi Hoti...!!!



Kaha Tha Na Bhool Jaogy Meri Baat Pe Aksar Lara Karty Thy Tum




Kaha Tha Na Bhool Jaogy,

Meri Baat Pe Aksar Lara Karty Thy Tum...!!!


Humain Khabar Hai Muhabbat Ke Sub Thikanon Ki Shareek-E-Jurm Na Hoty To Mukhbari Karty




Humain Khabar Hai Muhabbat Ke Sub Thikanon Ki,

Shareek-E-Jurm Na Hoty To Mukhbari Karty...!!!


Ab Ki Baar Ek Ajeeb Si Khahish Uthi Hai Dil Me Koi Toot Ke Chahe Mujhy Aur Main Bewafa Niklon



Ab Ki Baar Ek Ajeeb Si Khahish Uthi Hai Dil Me,

Koi Toot Ke Chahe Mujhy Aur Main Bewafa Niklon...!!!


Muhabbat Haath Me Pehni Hui Choori Ki Manind Hai Sanwarti Hai Khanakti Hai Khanak Kar Toot Jati Hai



Muhabbat Haath Me Pehni Hui Choori Ki Manind Hai,

Sanwarti Hai Khanakti Hai Khanak Kar Toot Jati Hai..!!!


Meri Khushi Ke Lamhe Mukhtsar Hain Is Qadar Guzar Jate Hain Mere Muskorane Se Pehly



Meri Khushi Ke Lamhe Mukhtsar Hain Is Qadar,

Guzar Jate Hain Mere Muskorane Se Pehly...!!!


Muhabbat Munfrid Hai Is Liey Saare Hi Khailon Me Jo Hara Hai Phir Nahi Khela Jo Jeeta Usne Toba Ki



Muhabbat Munfrid Hai Is Liey Saare Hi Khailon Me,

Jo Hara Hai Phir Nahi Khela Jo Jeeta Usne Toba Ki...!!!