Showing posts with label Dil. Show all posts
Showing posts with label Dil. Show all posts

Sunday, June 2, 2013

Piyar Me Koi Dil Toord Deta Hai



Piyar me koi dil toord deta hai
Dosti me koi to Bharosa Toord deta hai,

Zindagi jina to koi Gulaab se sikhe
Jo khud Toot kar do dilon ko Joord deta hai...!!!


The Things That Always Breaks My Heart.....


Dil Chahta hai Zamaane Se Chhupa Loon Tujh Ko




Dil Chahta hai Zamaane Se Chhupa Loon Tujh Ko
Dil Ki Dhadhkan Ki Tarah Dil Me Basaa Loon Tujh Ko,

Koi Ehsaas Judaai Ka Na Rehne Paye
Is tarah Khud Me Meri Jaan Chhupa Loon Tujh Ko,

Tu Jo Rooth Jaye Mujh Se Mere Dil Ki Roshni
Saari Duniya Se Khafa Ho Kar Manaa Loon Tujh Ko,

Jab Bhi Mai Dekhoon Tere Chehre Pe Udaasi Ka Saya
Bas Yeh Chahoon Kisi Tarah Hasa Loon Tujh Ko,

Tu Kabhi Duniya Se Bezaar Ho Jaye To
Dil Ye Chahe Ki Bahon Me Apni Chhupa Loon Tujh Ko...!!!



Monday, May 27, 2013

Chehre Par Marne Wale Hazar Mil Jaeingy



Chehre Par Marne Wale Hazar Mil Jayenge
Kuch Log Har Zarurat Puri Kar Jayenge,

Khawahish Hai Us Ki Jo Dil Se Samjhe Humein
Hum To Zindagi Bhi Us Ke Naam Kar Jayenge...!!!


Wednesday, May 22, 2013

Yeh Dard Ka Toofan Guzarta Q Nahi




Yeh Dard Ka Toofan Guzarta Q Nahi
Dil Toot Gaya Hai To Bikharta Q Nahi,

Ek Hi Shakhs Ko Chahte Hain Q Itna
Koi Doosra Iss Dil Me Utarta Q Nahi...!!!


Koi Rooh Ka Talabgar Mily To Hum bhi Muhabbat Karain




Koi Rooh Ka Talabgar Mily To, Hum bhi Muhabbat Karain,

Warna Dil To Bohat Milte Hain, Magar Koi Dil Se Nahi Milta...!!!


Phir Nahi Bastay Dil Jo Ek Baar Ujar Jatay Hain




Phir Nahi Bastay Dil Jo Ek Baar Ujar Jatay Hain,

Qabrein Jitni Bhi Sanwaro Wahan Ronaq Nahi Hoti...!!!


Monday, May 20, 2013

Is Dil Se Door Woh Jate Bhi Nahi




Is Dil se dur woh jate Bhi nahi
Haqiqat me woh Humain chahte bhi nahi,

Auron ke liye to woh Ro lete hain Raat bhar
Hamare liye to woh Muskurate bhi nahi...!!!

Ab Kahan Zarurat Hai Haathon Main Patthar Uthaane Ki




Ab Kahan Zarurat Hai, Haathon Main Patthar Uthaane Ki
"Wasi"
Torrne Waale To Dil Zubaan Se Hi Torr Diya Karte Hain...!!!

Maine Dil Ke Darwaazay Per Likha Ander Aana Manaa Hai




Maine Dil Ke Darwaazay Per Likha
Ander Aana Manaa Hai,

ISHQ Muskurata Huwa Bola.
Maaf Karna, Main Andha Hoon...!!!

Door Na Jaya Karo Dil Tadap Jata Hai




Door Na Jaya Karo Dil Tadap
Jata Hai,

Tere Hi Khayalon Mein Din
Guzar Jata Hai,

Aaj Pucha Hai Dil Ne Ek
Sawal Tum Se,

Kya Door Reh Kar Tumko
Humara Khayal Aata Hai...???

Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khyaal Unka




Dil ko aata hai jab bhi Khyaal
Unka
Tasvir se puchte hain phir Haal
Unka,

Woh kabhi humse pucha karte the
Judaai kya hai
Aaj Samajh aaya hai Sawaal
Unka...!!!


Tujhe Haq Diya Hai Main Ne Mere Saath Dil Lagi Ka




Tujhe Haq Diya Hai Main Ne Mere Saath Dil Lagi Ka

Mere Dil Se Khel Jab Tak Tera Dil Behal Na Jaye...!!!


Friday, May 17, 2013