Showing posts with label A. Show all posts
Showing posts with label A. Show all posts

Monday, May 27, 2013

Aag Dil Me Lagi Jab Wo Khafa Huey



Aag Dil Me Lagi Jab Woh Khafa Hue
Mehsoos Hua Tab, Jab Woh Juda Hue,

Karke Wafa Kuch De Na Sake Woh
Per Bohat Kuch De Gaye Jb Woh Bewafa Hue...!!!


Ab Ki Baar Ek Ajeeb Si Khahish Uthi Hai Dil Me Koi Toot Ke Chahe Mujhy Aur Main Bewafa Niklon



Ab Ki Baar Ek Ajeeb Si Khahish Uthi Hai Dil Me,

Koi Toot Ke Chahe Mujhy Aur Main Bewafa Niklon...!!!


Aaj Bari Dair Tak Woh Muhabbat Dikhata Raha Mohsin



Aaj Bari Dair Tak Woh Muhabbat Dikhata Raha
"Mohsin"
Na Jane Q Laga Ke Woh Muhabbat Choor Jaega...!!!

Alfaaz Ke Jhoote Bandhan Me Aghraaz Ke Gehry Padoon Me



الفاظ کے جھوٹے بندھن میں
اغراض کے گہرے پردوں میں
Alfaaz Ke Jhoote Bandhan Me,
Aghraaz Ke Gehry Padoon Me
ہر شخص محبت کرتا ھے
حالنکہ محبت کچھ بھی نہیں
Har Shakhs Muhabbat Karta Hai,
Halankeh Muhabbat Kuch Bhi Nahi
سب جھوٹے رشتے ناطے ھیں
سب دل رکھنے کی باتیں ھیں
Sab Jhoote Rishte Naate Hain,
Sab Dil Rakhne Ki Baatin Hain
کب کون کیسی کا ہوتا ھے
سب اصلی روپ چھپاتے ھیں
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai,
Sab Asli Roop Chupate Hain
اخلاق سے خالی لوگ یہاں
لفظوں کے تیر چلاتے ہیں
Ikhlaaq Se Khai Loog Yahan,
Lafzoon Ke Teer Chalaty Hain
اِک بارنگاہوں میں آ کر
پھر ساری عمر رُولاتے ھیں
Ik Baar Nigahon Me Aakar,
Phir Sari Umar Rulate Hain
ھم خوشبو کے سوداگر ھیں
اور سودا سچا کرتے ھیں
Hum Khushbu KE Sodagar Hain,
Aur Soda Sachha Karty Hain
جو گاہک پھولوں جیسا ہو 
ھم بِن داموں بِک جاتے ھیں
Jo Gahak Phoolon Jesa Ho,
Hum Bin Damoon Bik Jaty Hain
ھم شھرِ وَفا کے لوگوں کا
تم حال بھلا کیا جانوں گئے
Hum Sher-E-Wafa Ke Loogon Ka,
Yum Haal Bhala Kiya Jano Gy
ھم دل کی بات چھپاتے ھیں
!!!...ھم اشک بھی پئ جاتے ھیں
Hum Dil Ki Baat Chupaty Hain,
Hum Ashk Bhi Pee Jaty Hain...!!!


Wednesday, May 22, 2013

Tuesday, May 21, 2013

Ankhon Se Teri Yaad Ka Saya Nahi Jata




Ankhon Se Teri Yaad Ka Saya Nahi Jata
Mene Maan Liya Tumko Bhulaya Nhi Jata,

Ek Muddat Se Koi Naam Likha He Dil Per
Mein Mitana be Chahon To Mitaya Nahi Jata...!!!


Monday, May 20, 2013

Aaj Kuch Kami Si Hai Tum Bin




Aaj Kuch Kami si hai,
TUM BIN...!!!

Na Rung Na Roshni Hai,
TUM BIN...!!!

Waqat Apni Raftaar Se Chal Raha Hai,
Bas Dharkan Thami si hai
TUM BIN...!!!

Na Barish Hai Na Dhuwaan,
Phir bhi Dil may Tapish si Hai
TUM BIN...!!!

Buhat Roka Hai Baadal Ko Barasney Se,
Phir bhi Aankhon May Nami si Hai
TUM BIN...!!!

Ab Kahan Zarurat Hai Haathon Main Patthar Uthaane Ki




Ab Kahan Zarurat Hai, Haathon Main Patthar Uthaane Ki
"Wasi"
Torrne Waale To Dil Zubaan Se Hi Torr Diya Karte Hain...!!!

Friday, May 17, 2013

Ab To Hum Tere Liye Ajnabi Ho Gaye





Ab to hum tere liye ajnabi ho gaye
Baaton ke silsile bhi kam ho gaye,

Khushiyon se Ziyada hamare paas gham ho gaye
Kiya pata yeh waqat bura hai ya bure hum ho gaye...!!!


Acha Huaa Tum Kisi Aur K Ho Gaye




Accha Huaa Tum Kisi Aur K Ho Gaye,

Khatam To Huyi Fikar Tujhe Apna Bananey Ki...!!!


Thursday, May 16, 2013

Aapko Bhool Jaon Umar Guzarne Ki Baat Hai




Aapko Bhool Jaon Umar Guzarne Ki Baat Hai
Aap Ko Naa Ho Yakin Yeh Aur Baat Hai,

Jab Tak Rahegi Saans Tab Tak Rahonge Yaad
Yeh Saans Tut Jaaye To Aur Baat Hai...!!!


Aaj Afsos Ho Raha Hai Apne Haal-e-Zindagi Par




Aaj Afsos Ho Raha Hai Apne Haal-e-Zindagi Par,

Kash Kabhi Kisi Se Hadd Se Ziada Muhabbat Na Ki Hoti...!!!


Wednesday, May 15, 2013

Tuesday, April 16, 2013