Showing posts with label M. Show all posts
Showing posts with label M. Show all posts

Monday, June 3, 2013

Mujhe Har Pal Tumhari Yaad Aati Hai



SUNO...!!!

Mujhe Har pal Tumhari Yaad Aati Hai...

Kabhi Saanso Ke Chalne Pe,
Kabhi Dil Ke Machalnay Pe,
Kabhi Aankhen Chalakne Pe,
Kabhi Chand Nikalnay Pe,
Kabhi Suraj Ke Dhalne Pe,
Kabhi Shab Ke Andheron Me,
Kabhi Din Ke Sawiaron Me,
Kabhi Logon Ke Melay Me,
Kabhi Tanha Akele Me,


Mujhe Har Pal Tumhari Yaad Aati Hai...!!!



Sunday, June 2, 2013

Meri Mohabbat Ki Itni Si Kahani Hai



Meri "Mohabbat" ki itni Si kahani Hai
Dobi Hui "Kashti" Roka Huaa "Pani" Hai,
 

Ik "Gulab" unki "Kitab" may "Dam" Toord Chuka Hai
Unhay Yaad Bhi nahi Yeh Kis ki "Nishani" Hai...!!!


Missing You My Love....


Monday, May 27, 2013

Mohabbat Kisi Se Tab Hi Karna Jab Mohabbat Ko Nibhana Seekh Lo



Mohabbat Kisi Se Tab Hi Karna Jab
Mohabbat Ko Nibhana Seekh Lo,

Majboriyoon Ka Sahara Lekar
Chor Dena Wafadari Nahi Hoti...!!!


Muhabbat Haath Me Pehni Hui Choori Ki Manind Hai Sanwarti Hai Khanakti Hai Khanak Kar Toot Jati Hai



Muhabbat Haath Me Pehni Hui Choori Ki Manind Hai,

Sanwarti Hai Khanakti Hai Khanak Kar Toot Jati Hai..!!!


Meri Khushi Ke Lamhe Mukhtsar Hain Is Qadar Guzar Jate Hain Mere Muskorane Se Pehly



Meri Khushi Ke Lamhe Mukhtsar Hain Is Qadar,

Guzar Jate Hain Mere Muskorane Se Pehly...!!!


Muhabbat Munfrid Hai Is Liey Saare Hi Khailon Me Jo Hara Hai Phir Nahi Khela Jo Jeeta Usne Toba Ki



Muhabbat Munfrid Hai Is Liey Saare Hi Khailon Me,

Jo Hara Hai Phir Nahi Khela Jo Jeeta Usne Toba Ki...!!!


Thursday, May 23, 2013

Sunn Rahaa Hai Naa Tu Roo Rahi Hun Main




Manzile Ruswaa hain, Khoyaa hai Raastaa
Aaye Le Jaaye Itnii Si Iltajaa..
Yeh Merii Zamaanat hai, tu Meri Amaanat Hai
Aaaaa...

Mujhko Iraade de, Kasme de, Waade De
Meri duaaon kaa Isharon ko Sahaare De
Dil ko Thikaane de, Naye Bahaane De
Khaabon ki Barishoon ko Mausam ke Pemaaney De..
Apni Karam ki Kar Adayein
Karde Idhar Bhi Tu Nigaahe..

Sunn Rahaa hai naa Tu Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Kiuon Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Kiuon Roo Rahi Hu Main..

Yaaraa..

Waqt Bhi Thehraa Hai..
Kaise Kyun yeh Huaa..
Kaash Tu Aese Aaye
Jaisey Koi Duaa..

Tu Rooh ki Raahat Hai
Tu Meri Ibaadat Hai
Aaa...

Apni Karam ki Kar Adayein
Karde Idhar Bhi Tu Nigaahe..

Sunn Rahaa hai naa Tu Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Kiuon Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Roo Rahi Hu Main..
Sunn Rahaa hai naa Tu Kiuon Roo Rahi Hu Main...!!!


Mohabbat Ko Talashtay Rahay Magar




Mohabbat ko Talashtay Rahay 
Magar,,,
Tishna Lab-O-Nakamran
Aur Jab Nikalnay Lagay Koochay Se 
To Ik Sada-E-Na Aashna Aae...!!!


Muhabbaton Ka Bhed Hamain To Ab Tak Samajh Nahi Aaya




Mohabbaton ka Bhed Humen to ab tak Samajh nahin Aaya 
Akhiri Morr Murnay tak hum Muntazir Thay,

Koi Daaman Thaam Lay Hamara 
Koi Shama Shayad Jali ho Kaheen,
Us Gali say Guzer Aaey...!!!


Main Darya Sey Bhi Darti Hoon Tum Darya Sey Bhi Gehrey Ho




Main Darya Sey Bhi Darti Hoon
Tum Darya Sey Bhi Gehrey Ho!

Koun Si Baat Hai Tum Main Aisi
Itney Achey Kyon Lagtey Ho...???


Mangatey Hain Log Hum Say Teri Muhabbat Ka Saboot




Mangatey Hain Log Hum Say Teri Muhabbat Ka Saboot,

Meri Mehandi Ka Lal Rang Teri Chaahat Ki Gawahi Deta Hai...!!!


MY Name Is I MY PROBLEM IS LOVE And MY Soultion is YOU




MY name is (I)
MY PROBLEM IS (LOVE)
and
MY soultion is (YOU)...!!!


Tuesday, May 21, 2013

Muhabbat Kanch Ka Soda Muhabbat Aag Ka Darya




Mohabbat kanch ka soda
Mohabbat aag ka darya,

Mohabbat june jasi hai
Mohabbat barf jasi hai,

Mohabbat raat kaali hai
Mohabbat nella musam hai,

Mohabbat kacha angan hai
Mohabbat titlion ka ghar,

Magar Phir Bhi

Mohabbat kanch ka soda
Kisi namaloom basti se,

Kisi anjan hasti se
Kisi kaghaz ki kashti se,

Kisi khirki ke manzer se
Kisi dhundli si hasrat se,

Kisi jhooti tasali se
Mohabbat ho hi jati ha...!!!


Monday, May 20, 2013

Meri Tabahiyon Mein Tera Haath Hai




Meri Tabahiyon Mein Tera Haath Hai
Magar,

Main Sab Se Keh Raha Hu Muqadar Ki Baat Hai...!!!

Maine Dil Ke Darwaazay Per Likha Ander Aana Manaa Hai




Maine Dil Ke Darwaazay Per Likha
Ander Aana Manaa Hai,

ISHQ Muskurata Huwa Bola.
Maaf Karna, Main Andha Hoon...!!!

Wednesday, May 15, 2013

Main Nadan Tha Jo WaFa Ko Talash Karta Raha




Main Nadan Tha Jo “WaFa” KO Talash Karta Raha,
“GHALIB”
Yeh Bhi Na Socha Ke Apni Saans Bhi Ek Din “BEWAFA” Ban Jayegi...!!!