Showing posts with label Gham. Show all posts
Showing posts with label Gham. Show all posts

Friday, May 31, 2013

Ham To Smjhy Thy Hongy Do Chaar Aansu



Ham To Smjhy Thy Hongy Do Chaar Aansu,

Rony Bethy To Samnadar Ke Samnadar Nikly...!!!


Monday, May 20, 2013

Sab Ke Hote Hue Bhi Tanhai Milti Ha




Sab ke hote hue bhi tanhai milti hai
Yaadon me bhi gham ki parchai milti hai,

Jitni bhi Dua karte hain kisi ko pane ki
Utni hi Ziyada unse Bewafai milti hai...!!!

Tuesday, April 16, 2013

Saturday, April 6, 2013

Youn Mere Dil Ke Barabar Tera Gham Aaya Hai





Youn mere Dil ke Baraber tera Gham aaya hai
Jaise sheese ke Muqabil koi Patthar jaana,

Jaise Mehtaab ko Beant Samander Chahe
Maine Iss Taur Se Chaha Tujhe Aksar Jaana...!!!


Friday, April 5, 2013

Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya




Raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bohat kuch jala ke dekh liya,

Aur kya dekhne ko baaki hai
Aap se dil laga ke dekh liya,

Aas uss dar se toot'ti hi nahin
Ja ke dekh liya, na ja ke dekh liya,

Woh mere ho ke bhi mere na huye 
Unnko apna bana ke dekh liya,

Aaj unnki nazar mein kuch humne 
Sab ki nazrein bacha ke dekh liya,

Takmeel-e-gham bhi ho na saki
Ishq ko aazma ke dekh liya...!!!


Thursday, April 4, 2013

Ek Toote Huwe Dil Ki Aawaaz Mujhe Khaey




Ek Toote Huwe Dil Ki Aawaaz Mujhe Khaey
Sur Jismein Hai Sab Gham Ke Woh Saaz Mujhe Khaey,

Main Kon Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye zindaa Hoon
Main Khud Bhi Nahi Samajhi Woh Raaz Mujhe Khaey...!!!


Wednesday, April 3, 2013

Iska Gham Nahi Ke Tu Mera Na Ho Saka




Iska Gham Nahi Ke Tu Mera Na Ho Saka
Meri Mohabbat Me Mera Sahara Na Ban Saka,

Gham To Iska Bhi Nahi Ki Sukoon Dil Ka Lut Gaya
Gham To Iska Hai Ki Mohabbat Se Bharosa Hi Uth Gaya...!!!


Saturday, March 30, 2013

Friday, March 29, 2013

Toty Hain Sheesha-E-Dil tne Ke Ehl-E-Dard



Toty Hain Sheesha-E-Dil tne Ke Ehl-E-Dard,

Rakhte Hain Paaon Khak Par So Baar Dekh Kar....


Ghar Me Sooraj Utarne Ka Bohat Ranj Huaa



Ghar Me Sooraj Utarne Ka Bohat Ranj Huaa
Kal Mujhe Raat Guzarne Ka Bohat Ranj Huaa,

Jisne Kar Dala Meri Zaat Ko Reza Reza
Mujhe Us Shakhs Ke Bikharne Ka Bohat Ranj Huaa,

U To Is Shehr Me Abb Jhoot Koi Aeib Nahi
Jane Kiun Tere Mukrne Ka Bohat Ranj Huaa,

Abb Tere Dekhne, Milne Ki Koi Tamanna Hi Nhi
Niyat-E-Shook Ke Bikharne Ka Bohat Ranj Huaa,

Kuch Kar Jainge To Kahegi Dunya....!!!
Humko Ek Shakhs Ke Marne Ka Bohat Ranj Huaa....


Jaagtay Rehnay Say Kahan Ruktay Hain Behtay Aansoo



Jaagtay Rehnay Say Kahan Ruktay Hain Behtay Aansoo,

Umar Bhar Ho Gi Yeh Barsat Chalo So Jaain.....


Thursday, March 28, 2013