Showing posts with label C. Show all posts
Showing posts with label C. Show all posts

Friday, May 31, 2013

Choor Yeh Baat Mily Zakham Mujhy Kahan Se



Choor Yeh Baat Mily Zakham Mujhy Kahan Se,

Ay Zindgi Itna Bata Ke Safar Kitna Baki Hai...!!!


Monday, May 27, 2013

Chehre Par Marne Wale Hazar Mil Jaeingy



Chehre Par Marne Wale Hazar Mil Jayenge
Kuch Log Har Zarurat Puri Kar Jayenge,

Khawahish Hai Us Ki Jo Dil Se Samjhe Humein
Hum To Zindagi Bhi Us Ke Naam Kar Jayenge...!!!


Thursday, May 23, 2013

Chalo Kuch Dair Hanstey Hain Muhabbat Par Inayat Par




Chalo kuch dair hanstey hain
Mohabbat per inayat per,

Ke be Bunyad batain hain,
Sabhi rishtay sabhi naatey,

Zarurat ki hain Ejaaden,
Kahin koi nahi marta kisi ke Wastay Jaana,

Ke sub hai phair lafzon ka,
Hai saara khel Harfon ka,

Na hai Mehboob koi bhi,
Mohabbat na Zmaney main,

Praey bhi hain phir apney,
Agr hai kuch Khzaney main,

Ke is Jazbay pay ab aksar sabhi jumlay say kastay hain,

Chalo kuch dair hanstay hain...

Usi ko Yad krtay hain,
Jisay hum Zeest kehtey thay,

Ke lena saans bin jis k hamain ek jurm lagta tha,
Ke sung jis ke her ek lamha Khush-O-Khurm lagta tha,

Jisay hum zindgi kehtey,
Jisay thay sha'iry kehtey,

Ghazal ka Qafiya tha jo,
Nazm ka jo ke Unwan tha,

Woh lehja jb Bdalta tha Qyamat khez lagta tha,

Waqat say agay chalta tha,
Bla ka tez lagta tha,

Jo saya bun k rahta tha,
Juda ab is ke rastay hain....

Chalo kuch dair hanstay hain..
Chalo kuch dair hanstay hain...!!!

Cheen Loon Tujhey Duniya Say Yeh Mere Ikhtiyaar Me Nhi




CheeN LooN TujheY DuniyA Say, Ye Mere Ikhtiyaar Me Nhi,

Magar Mere DiL Se Tujhe Koi NikaaL De, Yeh KiSi Ke Bas Ki Baat Nhi...!!!

Wednesday, May 22, 2013

Chor Diya Humny Aitabaar Qismat Ki Lakeroon Par Dosto




Chor Diya Humny Aitabaar Qismat Ki Lakeroon Par
"Dosto"
Jo Diloon Me Bas Jayein, Woh Lakeeron Me Nahi Mila Karty...!!!


Tuesday, May 21, 2013

Chalay Bhi Aao Ke Tum Bin Guzara Nhi Hota




Chalay bhi Aao ke tum bin Guzara nhi hota
Koi Pal aisa nhi jab tum ko Pukara nhi hota,

Guzar jaye jo Teri Yaad ke Bagair
Kasam se woh din Humara nhi hota...!!!


Wednesday, April 17, 2013

Thursday, April 4, 2013

Saturday, March 30, 2013

Monday, February 25, 2013

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam




Chal Chlte Hain Us Paar Sanam...
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam

Jaha Lehron ki Khmoshi Ho,
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho

Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho,
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam,

Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko,

Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko,

Chal Chlte Hain Us Paar SaNam

Jahan Aasan Sari Rahain Hon,
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon

Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho,
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho

Chal Chlte Hain Us paar Sanam.


Friday, February 22, 2013

Chahay Jitna Bulaao Gay Wapas Na Aaon Gi Main



Chahay Jitna Bulaao Gay Wapas Na Aaon Gi Main
Aasmaan ki banhoon mai sama jaaon gi main,

Dekhna yiuonhe hanstay khailte yiuonhe muskuratay hooye
Kisi rooz chup chaap si chali jaaon gi main,

Na jaane mujhe yaad keray gaa bhe koi ke nahin
Na maloom kisi ko yaad aaon ke na yad aaon gi main,

Shayad ke hoo jaye meray liye bhe koi aankh pur num
Shayad kisi ko ashkoon ka tuhfa day jaaon gi main,

Boohat tadpi hoon mai sab ke kareeb reh reh kay
Ab door jaa ke sab ko tadpaaon giii main,

Zara zara si baat pe ye rooth jaata hay mujh se
Dekhna kisi rooz zindage se rooth jaaon gi main....