Mein Khwabon Mein Tum Se Mila Karti Hoon Hansti Hun Roti Hun Shikwa Gila Karti Hoon, Par Keh Na Pati Hun Haqeeqat Tum Se Ae Sanam Main Tum Se Bahut Pyar Kartik Tandel Hoon....
~!!~Koi hai jo "sirf mera" hai ♥ ~!!~mere dil mein "uska basera" hai ♥ ~!!~Chahta hai to "chahat meri" hai ♥ ~!!~mangta hai to "mohabbat meri" hai ♥ ~!!~Agar woh "chand" sa chamakta hai ♥ ~!!~to woh "chand sirf mera" hai ♥ ~!!~Agar woh "ishq" hai toh ♥ ~!!~ishqiya mizaj "sirf mera" hai ♥ ~!!~Wo "kismat" ki lakir hai♥ ~!!~to woh "haath sirf mera" hai ♥ ~!!~KOI Hai JO "SIRF MERA" Hai ♥
Tere Khwaabon se Dilkash koi Nazara nahi Tu aur ka ho jaye Khwaabon me bi Gawara nahi, Ruk jaate Humare Zakhmi Kadam Zalim tuney Shhidat-E-Ishq se kabhi Pukaara nahi...
Woh Dil Mein Basa Kuch Istarha, Mein Sari Dunya Bhulati Rahi, Har Sans Mein Uski Khushbo Ati Rahi, Mein Pal Pal Dil Ko Behlati Rahi, Kabhi Hans Kar Kabhi Ro Kar, Mein Mohabbat Ki Galiyon Ko Sajati Rahi, Har Raat Chand Ko Takti Rahi, Har Ghari Uska Intezar Karti Rahi, Har Khushi Mile Usay Zindagi Mein, Har Pal Ye Dua Karti Rahi, Na Miley Koi Gham Usay, Khud Aanhein Bhar Kar Roti Rahi, Har Din Mein Usko Chahti Rahi, Har Pal Uski Yaad Ati Rahi, Har Raat Ko Wo Yaad Ata Raha, Har Raat Meri Yun Sulagti Rahi, Kuch Khoyi Uski Baaton Mein Istarha, Bus Usi Ki Awaz Ko Sunti Rahi, Usay Har Pal Yaad Rakhnay K Liye, Bus Usi K Gun Gaati Rahi, Gumm Huii Us CHAND Mein Yun, Har Simt Usi Ki Surat Dekhti Rahi, Bus Kati Meri Zindagi Istarha Mein Usi Ki Khatir Jeeti Rahi, Woh DIL Mein Basa Kuch Istarha, Mein Sari Dunya Bhulate Rahi....
Armaan hai tujhe Pane ka, Teri Rooh mein uttar jane ka, Armaan hai teri Sason mein samana ka, Tera Sajda mein sar jhukane ka, Armaan hai tera Dil mein basne ka, Teri Deewani ban jane ka, Armaan hai teri Preet nibhane ka, Teri Jogan Ban jana ka, Armaan hai Bahaon mein simat jane ka, Tujh mein hi Fanna ho janae ka.....
Tere Bina Jeena Pare Woh DIN Kabhi bhi na aaye Koi bhi aandhi ho Tofaan koi Humko Juda kar na paye Bas Ek Bar kiya Hai... Maine Tujhe Pyar Kiya Hai Hum Teri ISHQ Mein Jannat ko Bhulaenge..
Aye zindagi tere bina jeena nahi hai mujhe Sajda karon RAB se kahoon de de dua mein mujhe, Mehfooz rakh lon tujhe mere dil ki yeh hai saada Saari duniya ka maine pyar paya teri chahaton mein Jee gayi tere sang main sadiyon ko ek lamhe mein....
Guraiz shab se,sahar se kalam rakhtay thay Kabhi woh din thay ke zulfon mein sham rakhte thay Tumhare haath lage hain to jo karo so karo Wagarna tum se to ham sau ghulam rakhtey thay Yeh aur baat hamain dosti naa raas aayi Hawa thi sath to khushboo maqam rakhte thay Na jaane kaun si rut mein bichhar gaye wo log Jo apne dil mein bahut ehateram rakhtay thay...!!
Tumko Jaante Nahi, Per Chahate Hain Hum Din Bhar Khojte Nahi, Per Sochte Hain Hum, Tumhare Dil Mein Rehte Nahi, Per Tumhare Hain Hum Tumko Shayad Paayenge Nahi, Per Apnayen Ge Hum, Jeevan Main Shayad Kabhi Mil Na Paao,Bas Bichar Jaao Ge Tum Shayad Humare Na Ban Paao, Per Muskurao Ge Tum, Raat Andheri Hogi, Phir-Bhi Jhilmilaoge Tum Humein Aur Koi Nahi, Bas Yaad Aao Ge Tum...