Faqat Nigaah Se Hota Hai FaiSla Dil Ka,
Na Ho Nigaah Me Shookhi To Dilbarii Kia Hai...!!!
Farishton Jesa Taqaddus Tha Uss Ke Chehry Par,
Yaqeen Kijaey Woh Shakhs Bhi Bewafa Nikla...!!!
Faasle Aise Bhi Honge Yeh Kabhi Socha Na Tha,
Saamne Baitha Tha Mere Aur Woh Mera Na Tha...!!!
Faqeer Kyon Tujhe Marne Ki Bad-Duaa Dega,
Tera Gharoor Hi Kar Jayega Tabaah Tujhe...
Fanna Kar De Apni Sari Zindgi KHUDA Ki Muhabbat Me,
Yahi Woh Wahid Piyar Hy Jis Me Bewafai Ni Hoti..
Faaslay Kab Kam Howay Hain Raabton Ke Baad Bhi,
Ajnabi Thay Ajnabi Hain Muhabbaton Ke Baad Bhi...
Fursat agr mile to Parhna mujhy Zaror,
Main Nakaam zindagi ki Mukammal kitab hun...!!!
Farz Karo Agar Baad-e-FurQat Main Tum Ko Mil Jaon To,
Hairat Mein Par Jao Gay Ya Seene Se Lag Jao Gay...!!