Showing posts with label J. Show all posts
Showing posts with label J. Show all posts

Wednesday, May 22, 2013

Jis Jaga Log Apni Yaadein Dafna Sakein



Jis Jaga Log Apni Yaadein Dafna Sakein,

Shehar Me Aisa Bhi Qabristan Hona Chahiye...!!!


Monday, May 6, 2013

Jo Dil Se Karib Ho Use Rusva Nahi Karte




Jo Dil Se Karib Ho Use Rusva Nahi Karte
Yun Apni Muhabbat Ka Tamasha Nahi Karte,

Khamosh Rahenge To Ghutan Aur Badhengi
Apnon Se Koi Baat Chupaya Nahi Karte...!!!


Monday, April 22, 2013

Jo Bhi Manga Wahi Manga Jo Muqaddar Me Na Tha



Jo Bhi Manga Wahi Manga Jo Muqaddar Me Na Tha,

Apni Har Ek Tamanna Se Shikayat Hai Mujhe...!!!


Jo Baat Hum Keh Nahi Sakty Usy Hum Farz Karty Hain



Jo Baat Hum Keh Nahi Sakty Usy Hum Farz Karty Hain,

Chalo Hum Farz Karty Hain Humain Tumse Muhabbat Hai...!!!


Jazba Ishq Alfaaz Ka Mohtaj To Hai Lekin



Jazba Ishq Alfaaz Ka Mohtaj To Hai Lekin,

Jo Alfaaz Me biyan Ho Woh Muhabbat Nahi Hoti...!!!


Jawe To Bepanah The Is Qaenaat Me Zaid



Jawe To Bepanah The Is Qaenaat Me, Zaid,

Yeh Aur Baat Hai Ke Nazar Tum Pe Ruk Gai...!!!


Jalaaton Ke Silsale Soz-E-Nihaan Tak Aagae Zaid



Jalaaton Ke Silsale Soz-E-Nihaan Tak Aagae, Zaid,

Hum Nazar Tak Chahte The Tum To Jaan Tak Aagae...!!!


Jab Bhi Utha Ke Haath Mujhe Mangti Thi Woh




Jab Bhi Utha Ke Haath Mujhe Mangti Thi Woh,

Kehti Thi Zoor Zoor Se Aameen Chooriya...!!!




Jaate Huey Usne Bass Itna Kaha



Jaate Huey Usne Bass Itna Kaha,

Apni Zindagi Jee Lena Wese Piyar Bohat Acha Karte Ho...!!!


Thursday, April 18, 2013

Jisko Khone Me Ik Umrr Ganwa Di Raaz



Jisko Khone Me Ik Umrr Ganwa Di Raaz,

Usko Pane Ke Liaey, Main Ne Kya Na Kiya Hoga...!!!


Jin Ko Toofan Se Ulajhne Ki Aadat Ho Mohsin



Jin Ko Toofan Se Ulajhne Ki Aadat Ho,
"Mohsin"
Easi Kashti Ko Samandar Bhi Duaa Dete Hain...!!!


Jin Ki Milne Ki Nahi Door Tak Kuch Umeed



Jin Ki Milne Ki Nahi Door Tak Kuch Umeed
Unke Khoo Jane Ka Khadsha Bhi Bohat Hota Hai,

Jin Pe Hota Hai Bohat Maan, Bohat Gehra Maan
Woh Badal Jain To Sadma Bhi Bohat Hota Hai...!!!


Jany Kiya Baat Hai Kiun Tumse Muhabbat Hai Mujhy




Jany Kiya Baat Hai Kiun Tumse Muhabbat Hai Mujhy,

Chand Sooraj Se Sitaroon Se Haseen Lagty Ho...!!!


Jane Kis Umrr Me Jaey Gi Yeh Aadat Apni




Jane Kis Umrr Me Jaey Gi Yeh Aadat Apni,

Roothna Us Se To Aoron Se Uljhte Rehna...!!!


Friday, April 5, 2013

Jab Bhi Dil Me Aapki Khushi Ki Duaa Aai Hai




Jab bhi dil me aapki khushi ki dua aai hai
Is dil ne sachi khushi paai hai,

Darr lagta hai kahi chot na aaye aapke dil ko mere lafzon se
Kyuke aapki khushi me meri khushi samai hai...!!!


Jab Bhi Dube Teri Yaadon Ke Bhawhar Me Dube





Jab Bhi Dube Teri Yaadon Ke Bhawhar Me Dube,

Yeh Woh Dariya Hai, Jo Humain Par Karna Na Aaya...!!!


Thursday, April 4, 2013

Jugnuon Ko Kaid Kar Ke Muskuraya Na Karo




Jugnuon Ko Kaid Kar Ke Muskuraya Na Karo
Roshni Ki Khatir Kisi Ka Ghar Jalaya Na Karo,

Dil Pe Ab Itne Sitam Bhi Dhaya Na Karo
Jo Yaad Nahi Karna To Tum Yaad Bhi Aaya Na Karo...!!!


Jab Door Ufaq Par Lali Ho




Jab Door Ufaq Par Lali Ho
Jab Sham Udasi Wali Ho,

Jab Zabt Ka Bandan Tuta Ho
Jab Aas Ka Daman Chuta Ho,

Jab Darshan Pyas Bujate Hon
Jab Mousam Geet Sunate Hon,

Jab Kan Hon Tarse Baton Ko
Jab Nend Na Aaye Raton Ko,

Jab Ankon Mai Jugrate Hon
Jab Apne Dard Statay Hon,

Tab Yaad Bohat Tum Atay Ho
Tab Yaad Bohat Tum Atay Ho...!!!