Showing posts with label Z. Show all posts
Showing posts with label Z. Show all posts

Tuesday, May 21, 2013

Zara Dekhna Uthh Gye Shezadi Neend Se




Zara Dekhna Uthh Gye Shezadi Neend Se,

Suna Hai Bohat Soty Hain Yeh Husan Wale...!!!


Monday, May 20, 2013

Zindegi Me Do Chize Tutne Ke Liye Judti Hain




Zindegi Me Do Chize Tutne Ke Liye Judti Hain,

Sanse Or Saath,
Bus Fark Sirf Itna Hai,

Sansain Tot'ti Hain To Ham Ek Bar Me Mar Jate Hain
Or Jab Sath Tot'ta Hai To Ham Pal Pal Marte Hain...!!!

Friday, May 17, 2013

Zara Pane Ki Chahat Main Bohat Kuch Choot Jata Hain




Zara Pane Ki Chahat Main
Bohat Kuch Chhoot Jata Hain,

Na Jane Sabr Ka Dhaaga
Kahan Par Toot Jata Hain,

Kise Hamrah Kehte Ho
Yahan To Apna Saya Bhi,

Kahin Par Saath Rehta Hain
Kahin Par Chhoot Jata Hain,

Ajab Shay Hai Ye Rishta Bhi
Bahat Mazboot Lagta Hain,

Zara Si Bhool Se Lekin,
Bharosa Toot Jata Hain...!!!


Thursday, April 18, 2013

Zehr Me Doobi Nokon Waly Teer Chlaey Sare Usny Tareeki Me



Zehr Me Doobi Nokon Waly Teer Chlaey Sare Usny Tareeki Me... Lekin Usko Khoob Khabar Thi Ghoor Andheri Sab Rahoon Me Maine Aankhain Rakh Choori Hain...!!!


Zara Bhi Paaon Me Larzish Nahi Hai Humain Kaantoon Pe Chalna Aa Gaya Naa



Zara Bhi Paaon Me Larzish Nahi Hai Humain Kaantoon Pe Chalna Aa Gaya Naa...!!!


Saturday, April 6, 2013

Zindgi Hamain Tumse Koi Aarzoo Kab Thi



Zindgi Hamain Tumse Koi Aarzoo Kab Thi,

Hum To Iss Aas Me Jeete Hain Ke Marna Kab Hai...!!!


Zindgi Jab Bhi Teri Bazm Me Laati Hai Hamain




Zindgi jab bhi teri bazm mein laati hai hamain
Yeh zamin chaand se behtar nazar aati hai hamain,

Surkh Phoolon se mehak uthti hain dil ki raahen
Din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamain,

Yaad teri kabhi dastak kabhi sarogoshi se
Raat ke pichhle pehar roz jagati hai hamain,

Har mulaqat ka anjaam judai kyun hai
Ab to har waqat yahi baat satati hai hamain..


Zamane Bhar Ki Nigahon Me Jo KHUDA Sa Lage




Zamane bhar ki nigahon mein jo KUHUDA sa lage
Woh ajnabi hai, magar Mujhko Aashna sa lage,

Najaane kab meri duniya mein Muskurayega
Woh ek shaks ke khabon mein bhi khaffa sa lage,

Ajeeb cheez hai Yaaron, Ye manzilon ki hawas
Ke Raahzan bhi Musafir ko, Rahnuma sa lage,

Dil-E-Tabaah ! tera mashwara hai kya! Ke Mujhe
Woh Phool rang sitaara bhi, Bewaffa sa lage,

Hui Hai jis se Munavar har ek Aankh ki Jheel
Woh chand aaj bhi ALISHA ko Kamnuma sa lage...!!!


Thursday, March 28, 2013

Zindgi Se Ap Jo Bhi Behtar Se Behtar Le Sako Le Lo



Zindgi Se Ap Jo Bhi Behtar Se Behtar Le Sako Le Lo,
Q Ke....
Zindgi Jab Lena Shuro Karti Hai To"SAANSAIN" Bhi Nhi Chhodti....


Zindgi Tu Hi Bata Kaisy Tujhe Pyar Karon




Zindgi Tu Hi Bata
Kaise Tuje Piyar Karu??

Teri Har Ek 'SUBHA'
Meri Umar Kam Kar DetiHai.


Wednesday, March 27, 2013

Zindgi Se Apna Har Dard Chupa Lena




Zindgi se apna har dard chupa lena
Khushi na sahi gam gale laga lena,

Koi agar kahe mohabbat aasan hai
To use mera toota hua dil dikha dena.....