Showing posts with label Iqrar. Show all posts
Showing posts with label Iqrar. Show all posts

Monday, May 20, 2013

Unhain Yeh Khwahish Ke Hum Zuban Se Izhaar Karain




Unhain Yeh Khwahish Ke Hum Zuban Se Izhaar Karain,

Humein Yeh Aarzu Ke Woh Dil Ki Zuban Samjh Lein..!!!


Monday, April 22, 2013

Jo Baat Hum Keh Nahi Sakty Usy Hum Farz Karty Hain



Jo Baat Hum Keh Nahi Sakty Usy Hum Farz Karty Hain,

Chalo Hum Farz Karty Hain Humain Tumse Muhabbat Hai...!!!


Wednesday, April 3, 2013

Humne Hamare Ishq Ka Izhaar Yun Kiya




Humne Hamare Ishq Ka Izhaar Yun Kiya,

Phoolon Se Tera Naam Pathron Pe Likh Diya...!!!


Main kuch lamhe aur uska sath chahti hoon




Main kuch lamhe aur uska sath chahti hoon
Aankhon me jo tham gayi woh barsaat chahti hoon,

Suna hai maine mujhe bahut chahta tha woh
Magar main uski zubaan se Ek bar izhaar chahti hoon...!!!


Agar Tum Jo Ijazat Do To Chand Lafzon Me Kah Dalen




Agar Tum Jo Ijazat Do, To Chand Lafzon Me Kah Dalen,

Ki Tum Bin Mar To Sakte Hai, Tum Bin Jee Nahi Sakte....


Friday, March 29, 2013

O Jaan-E-Jaan yeh Sach Hai Ke Mein Apni Muhabbat Ka Izhaar





O Jaan-E-Jaan yeh sach hai ke
Mein apni Muhabbat ka izhaar
Kabhi khul ke na kar saki,

Magar Meri Aankhen
Hamesha Meri Dil ki Haalat Batati
Rahi Hain,

Aur Tu Hai ke Mujhse Bekhabar Aaj
Bhi Hai,

Mere Dil Ki Har Dhadkan Sirf Tera
Naam Leti Hai
Sirf Tera Naam...


Thursday, March 28, 2013

Kya Pata Uski Zuban Se Bhi Izhar Nikle





Kya pata uski zuban se bhi izhar nikle
kya pta unke dil me bhi piyar mile,

Sach hai uske bina ji nhi sakte,
kya pta uske dil se bhi yahi baat nikle..


Dil ko Dil Se Dor Rakhti Hon Ta Ke Ikrar Na Ho Jaey




Dil ko dil se dor rakhti hon ta ke Iqrar na ho jaey
Kuch pal Ap Se batain Bhi karti hu taki Intzar na ho jaey,

Zindgi akele jiney ki Zid hai humain
So khud ko Aap Sab se dor rakhti hon ta ke Piyar na ho jaey.


Bohat Sey Raastay Aatay Hain Mere Dil Ki Taraf



Bohat Sey Raastay Aatay Hain Mere Dil Ki Taraf,

Raah-e-Khaloos Sey Aana Faasla Kam Paray Ga...!!!