Thursday, February 28, 2013

Ye Bhi Aik Tamasha Hai Bazar-e-Ulfat Mein




Ye bhi aik tamasha hai bazar-e-ulfat mein,

Dil kisi or ka hota hai, or bass kisi or ka chalta hai..


Nazr-e-Bad se Bachna Hai To Kahi Aur Chalay Jaa




Nazr-e-Bad se Bachna hai to Kahi Aur Chalay Jaa,

Mai Tujhy Daikhti hun To Palkein Jhapakti hi Nahi..


Aik Mudat Ke Bad Hum Ne Yeh Jana Ay KHUDA




Aik Mudat Ke Bad Hum Ne Yeh Jana Ay "KHUDA"
Aik Teri Zaat Se Ishq Sacha Baqi Sb Afsaanay Hain..


Bicharty Waqt Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya




Bicharty Waqt Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya,

Woh Keh Gaya Tha, Yahi Waqt Imtehan Ka Hai..


Uljha Rahi Hai Mujh Ko Yehi Kash-Ma-Kash




Uljha Rahi Hai Mujh Ko Yehi Kash-Ma-Kash..
Ke Tu Aa Basa Hai Mujh Main Ya Main Kho Gayi Hoon Tujh Main..


Kashti-e-Ishq Main Aana Chahte Ho




Kashti-e-Ishq Main Aana Chahte Ho?

Soch Lo, Dariya-e-Muhabba­t Ka Kinara Nahi Hota..


Shaayad Koi Taraash Kar Kismat Sanwaar De




Shaayad koi Taraash Kar Kismat Sanwaar De...!!

Ye Soch Kar mein Umar Bhar Pathr Bani Rahi...!


Muhabt Dukh Tu Deti Hai




Muhabt dukh tu deti hai
Mgr ek baat kehni ha
Ke

Jisko chaha jata ha
Zarori ye nahi hota,
Ke

Usko pa liya jaey,
Kabhi us kay bichrny se,
Muhbbt kum nhi hoti
Zara si dair pehlay to
Yahi ehsas hota hai
Ke

Koi jee nhi skta
Mgr phr rfta rfta hi
Haqeeqat khulti jati hai
Ke

Muhbbat woh nhi hoti
Ke
Jisko pa liya jae.


Woh Meri Soch Ke Parday Mein Chupa Betha Hai





Woh Meri Soch Ke Parday Mein Chupa Betha Hai,

Main Kisi Aur ko Sochon Bhi To Sochon Kaise...


Ya Zamany Ki Wafayain Maray Kaam Ki Nahi




Ya Zamany Ki Wafayain Maray Kaam Ki Nahi
Mujhy Us Ki Wafa Chahiay kisi Aam Ki Nahi,

Us Ke To Aik Muskurahat Bhe Aam The
Ya Tammam Muskurahatan Kisi Daam Ki Nahi,

Mujhy Gham Hai To Us Kay Chin Jany Ka Hai
Parwah Muh Per Lagay Ilzam Ki Nahi,

Mera Haath Dakh Kar Najoomi Ya Bola
Bohat Se Chahatan Hain Taray Liay BAqi LAkin,

Tearay Haath Main Koi Bhe Lakeer Us Kay Naam Ki Nahi...


Meri Tanhai Barhate Hain Chale Jate Hain




Meri tanhai barhate hain chale jate hain,
Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,

Is liye ab mein kisi ko nahin jane deti,
Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,

Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu,
Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,

Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai,
Aap aate hain rulate hain chale jate hain,

Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne,
Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain,

Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan,
Aap to aag lagate hain chale jate hain,

Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya,
Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain....


Mujhy Din Dey Apny Khayal Ka




Mujhy Din Dey Apny Khayal Ka,
Mujhy Apny Qurb Ki Raat Dey,

Merey Hath Mai'n Tu Hath Dey,
Tu Umar Bher Mera Sath Dey.!

Every Breath You Take, Every Move You Make




Every Breath You Take, Every Move You Make,
I Will Be There.

What Will I Do Without You, I Want To Love You
Forever And Ever And Ever And Ever...


Woh Chala Geya Mujhe Chorr Ke Meri Aadatein Wohi Rahin




Woh chala geya mujhe chorr ke, Meri aadatein wohi rahin,

Usey sochna, usey chahna, mera aaj bhi mamool hai..


Sikha Di Na Bewafai Tumhein Bhi Is Zalim Zamaney Ney




Sikha Di Na Bewafai Tumhein Bhi Is Zalim Zamaney Ney,

Aur Tum Jo Seekh Lety Ho, Ham Hi Pe Aazmaatey Ho....


I Love The Feeling When We Are Togethe




I Love the feeling when we are together
I Love the thought of being with you forever,


I Love it when your dream comes true
I Love it when its a bit hazy & dew,


I Love the time i spend with you
Because I feel Perfect with you.


Mat Jagaana Hamein Ta Abeer Ka Laalach De Kar




Mat Jagaana Hamein Ta'abeer Ka Laalach De Kar,

Ab Agr Khwaab Se Palte To Qeyaamat Hogi...


Aay Zindgi Tu Hi Muj Se Rooth Jaa




Aay Zindgi tu hi Muj Se Rooth Jaa ,

Is Dunia Ma ab log muj Se Manaya nahi jaty...


O Bewafa Mujh Se Bichara To Door Hat Ke Roya




O Bewafa mujh se bichara to door hat k roya,
Na jane keyo o Apno me palat k roya,
yad Aaye usko jab mere guzre huye bate,

Pagla mere khat pad pad k roya,
Suna tha mera naam likh kar apne hatho par,
Usko pad pad k roya,

O mere pyar me kush rahne wale,
Kal kisi k bajuo me simat k roye,
Jab hum sa hamdard na mila usko to,
Sadi k din v darwaze se lipat lipat k roya..


Hum Nazuk Nazuk Dil Walay




Hum nazuk nazuk dil walay
Bas aisay hi to hotay hain,

Kabhi hasty hain kabhi rotay hain
Kabhi dil main khuwab piroty hain,

Kabhi mehfil mehfil phirty hain
Kabhi zat main tanha hoty hain,

Kabhi chup ki mohr lagaty hain
Kabhi geet labon per laty hain,

Kabhi sab ka dil behlaty hain
Kabhi khud hi tanha hoty hain,

Kabhi shab bhar jagty rehty hain
Kabhi lambi taan k soty hain,

Ham nazuk nazuk dil walay
Bas aisay hi to hoty hain.


Sabhi Insan Hain Magar




Sabhi insan hain magar
Faraq sirf itna hay
Kuch zakham dety hain
Kuch zakham bharty hain
Humsafar
Boht hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch sath dety hain
Kuch chor dety hain
Piyar
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch jaan dety hain
Kuch jaan lety hain
Dosti
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch loog nibhatay hain
Kuch loog aazmatay hain.


Khizan Key Zard Mosam Main




Khiza'an key zard mosam main
Kisi veraan sey pal ki,
Buhat gehri khamoshi mein,

Thetharti, kapkapaati raat ki aaghosh mein simty,
Kisi be,rfaab lamhy ki yakh basta si tanhae mein,
Kabhi jo mein bikhri yaadon ko samaitna chahon.
Key phir se tum ko dekhna chahon,

Tou dil-e-nada'an ki is masoom si khawhish per,
Yeh aankhein muskuraati hein
Key yeh dard seh na paati hein.

Aur phir
Wo barsaat hoti hy
Jo daman ko bhigoti hy
Buhat baymol hoti hy.


Tum To Hansti Ho To Pholon Ki Ada Lagti Ho




Tum jo hansti ho to pholon ki ada lagti ho
Or chalti ho to ik bad-e-saba lagti ho,

Dono hathon mein chupa laiti ho apna chehra
Mashriqi hoor ho dulhan ki haya lagti ho,

Kuch na kehna mere kandhe pe jhuka kr sar ko
Kitni masom ho tasvir e wafa lagti ho,

Bat krti ho to sagar se khanak jate hain
Leher ka geet ho koyal ki sada lagti ho,

Kis taraf jaogi zulfon k ye badal le kr
Aj machli huvi sawan ki ghata lagti ho,

Tm jise daikh lo pine ki zarurat kya hai
Zindagi bhar jo rahe aisa nasha lagti ho,

Mein ne mehsos kiya tm se do baten kr k
Tm zamane mein zamane se juda lagti ho.


Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle




Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
Diloan Ke Deep Jalte Hain Charagh-E-Shaam Se Pahle,

Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle,

Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The
Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle,

Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut-Te Honge
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle,

Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle,

Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Amjad Ihtiyatan Ham
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle.


Yeh Kesa Khauf Tha Rakht-e-Safar Bhi Bhool Gaye




Yeh kesa khauf tha rakht-e-safar bhi bhool gaye
Vo kaun log thay jo apnay ghar bhi bhool gaye,

Yeh kesi quvvat-e-parvaaz darr ne paida ki
Parinday urrtay huay apnay parr bhi bhool gaye,

Dukhon ne cheen lee aankhon ki saari beenaayee
Hum us ka sheher to kiya, rahguzar bhi bhool gaye,

Khayaal tha ke sunaayen ge haal-e-dil lekin
Hum us ke saamnay Arz-e-hunar bhi bhool gaye,

Juda huay to khula hai tumhaari basti mein
Hum aik dil he nahin, chashm-e-tarr bhi bhool gaye.


Roshan Chahra Bheegi Zulfen Kisko Kis Pe Tarjeeh Dou



Roshan Chahra Bheegi Zulfen, Kisko Kis Pe Tarjeeh Dou

Aik Qaseeda Dhoop Ka Likhon, Aik Ghazal Barsaat Ke Naam.


Toot Kar Zara Dekho




Toot kar zara dekho
Tum agar bikhar jaon.

Bay basi may ghir jao
Dil say ik sada dena,

Bus mujay bula lena
May tumhe sumbha longa,

Zindagi may chalnay ka
Rasta badalnay ka,

Ik hunar sikha donga
Tumko hosla donga.
Or jab
Sambhal jao,

Roshni may dhal jao
Mujko yun sila dena
Tum mujay bhula dena.


Misal-e-Sheesha Hai Hame




Misal-E-Sheesha
Hai Hame
Thaam K Rakhna...
Hum
Tere Hath Se Chhute
To Bikhar Jayenge.....!!!


If You Treat Someone Like A Celebrity



If You Treat Someone Like A Celebrity
They Will Treat You Like A Fan..


Bas Yehi Aadat Uski




Bas
Yehi Aadat Uski
Mujhe Achi Lagti Hai
Udaas
Kar K Kehte Hai
Naraz To Nahi Ho Na...!!!


Paoon Phelaey To Phir Na Dekhi Chaadar Hume



Paoon Phelaey To Phir Na Dekhi Chaadar Hume,

Tujhko Ko Chaaha To Oukaat Se Barh Kar Chaaha.


Tuesday, February 26, 2013

Mujhe Samjhaya Na Karo Ke Ab To Ho Chuki Mujh Ko




Mujhe Samjhaya Na Karo Ke Ab To Ho Chuki Mujh Ko,

Mohabbat Mashwara Hoti To Tum Se Poch Kar Karte


Aabad Kharaba Hein Yahaan kaun Sunega




Aabad kharaba hei yahaan kaun sunega,
Hamzaad ko sehra mein sada kiyun nahein dete.

Palkein hein jhapakne ki ada bhool na jayen,
Ummeed ki sham'o'n ko bujha kiyun nahein dete.


Yeh Zamane Ki Wafaein Mary Kaam Ki Nahi




Ye Zamane Ki Wafaein Mary Kaam Ki Nahi,
Mujhe Uski Wafa Chahiye Kisi Aam Ki Nahi,

Uski To Ek Muskurahat Bhi Anmol Thi,
Ye Tamam Muskurahatein Kisi Daam Ki Nahi,

Mujhe Gham Hai To Uske Chin Jane Ka Hai,
Parwah Mujh Par Lage Ilzaam Ki Nahi,

Mera Haath Dekh Kar Najumi Ye Bola,
Bohat Si Chahatein Tere Liye Hain Baqi Lekin...?

Tere Haath Mein Koi Bhi Lakeer Uske Naam Ki Nahi..!


Mujhe Be Khudi Ki Hai Arzo Mujhe Qurbato Ka Khumar Day




Mujhe Be Khudi Ki Hai Arzo Mujhe Qurbato Ka Khumar Day
Mere Ang Ang Mein Yon Utar Kay Mujhi Mein Khud Ko Utar Day

Tu Jo Por Por Mein Bus Gaya Tu Hai Doriyon Ka Jawaz Kaya?
Meri ZIndagi Mere Pass Aa Meri Be Kali Ko Nikhar Day

Meri Zindagi Pay Moheet Hein Wohi Wahshatain Wohi Doriyan
Main Khiza Raseeda Si Shaam Hon Mujhe Apne Rukh Ki Bahar Day

Meri Be Basi Hai Baja Magar Mere Shoq Ka Bhi Hisab Ker
Mein Saya Naseeb Jo Hon Agar Tu Mera Naseeb Sanwar Day

Hai Nazar Nazar Teri Justju Tu Meri Wafa Ki Hai Abro
Kabhi Yon Bhi Ho Mere Rubaro Mujhe Jaan Se He Guzar Day

Mujhe Is Trah Se Tu Yaad Aa Teri Yaad Ko Bhi Guma Na Ho
Tu Mere Khayal Mein Yon Sama Mera Harf Harf Nikhar Day...


Hazaron Deep Jala Kar Jo Aap Bujh Jaey



Hazaron Deep Jala Kar Jo Aap Bujh Jaey,

Hum Uss Chiragh Ke Bhujne Ka Gham Nhi Karty.


Ehsas Nahi Tha Keh Tanha Hun Aaj Kal



Ehsas Nahi Tha Keh Tanha Hun Aaj Kal,

Tune Sawal Chera Keh Acha Nahi Kiya.


Mera Akss Mujhse Ulahj Para To Girah Khuli



Mera Akss Mujhse Ulahj Para To Girah Khuli,

Kabhi Main Bhi Chera Shnas Tha, So Nahi Raha.


Kabhi Usko Nazar Andaz Mat Karo Jo Tumhari Bohat Parwah Karta Hai




Kabhi Usko Nazar Andaz Mat Karo Jo Tumhari Bohat Parwah Karta Hai.
Warna Tumhain Kisi Din Ehsaas Hoga Keh,
Pathar Jama Karty Karty Tumne HERA Gawa Diya.


Gumsum Si Rehguzar Thi Kinara Nadi Ka Tha






گم سم سی رہگزر تھی ، کنارہ ندی کا تھا

پانی میں چاند ، چاند میں چہرہ کسی کا تھا


اب زندگی سنبھل کے لیتا ہے تیرا نام

یہ دل کے جس کو شوق کبھی خودکشی کا تھا


کہنے کو ڈھونڈتے تھے سبھی اپنے خد و خال

ورنہ میری غزل میں تو سب کچھ اسی کا تھا 


مشکل کہاں تھے ترک محبت کے مرحلے

اے دل مگر سوال تیری زندگی کا تھا


وہ جس کی دوستی ہی متاع خلوص تھی

محسن وہ شخص بھی میرا دشمن کبھی کا تھا



Btao Kon Tha Kesa Tha Jis Se Silsla Thehra






بتاؤ کون تھا ، کیسا تھا جس سے سلسلہ ٹھہرا؟
کہا کر کے وفا کا خون آخر بے وفا ٹھہرا

بھلا پھولوں سے بھنورے کس زباں میں بات کرتے ہیں؟
کہا، خوشبو سے خوشبو کا انوکھا رابطہ ٹھہرا

ذرا بتلاؤ اِک انجان پر اتنی عنایت کیوں؟
کہا، دل کے صحیفے میں یہی تو معجزہ ٹھہرا

سنو کیسا لگا اس شخص سے ملنا ، بچھڑ جانا؟
ملا تو اجنبی تھا وہ ، بچھڑ کر آشنا ٹھہرا

بھلا محبوب سو پردوں میں بھی کیونکر نمایاں ہے ؟
ازل سے تا ابد دل کے ، وہ کعبے کا خدا ٹھہرا

پلٹ کر ہر طرف سے کیوں نظر اس شخص پر ٹھہری؟
.................وفا کے سلسلوں کی وہ ، مسلسل انتہا ٹھہرا


Woh Jo Dawedar Hai Shehr Me Keh Subhi Ka Nabz Snash Hun






وہ جو دعویدار ھے شہر میں کہ سبھی کا نبض شناس ھوں

کبھی آ کے مجھ سے تو پوچھتا کہ میں کس کے غم میں‌اداس ھوں


یہ مری کتاب حیات ھے اسے دل کی آنکھ سے پڑھ ذرا

میں ورق ورق ترے سامنے ترے روبرو ترے پاس ھوں


یہ تری امید کو کیا ھوا کبھی تو نے غور نہیں ‌کیا

کسی شام تو نے کہا تو تھا تری سانس ھوں تری آس ھوں


یہ تری جدائی کا غم نہیں کہ یہ سلسلے تو ھیں‌ روز کے

تری ذات اس کا سبب نہیں کئی دن سے یونہی اداس ھوں


کسی اور کی آنکھ سے دیکھ کر مجھے ایسے ویسے لقب نہ دے

ترا اعتبار ھوں جان من نہ گمان ھوں نہ قیاس ھوں


Kis Tarhan Log Chaly Jaty Hain Uth Kar Chup Chaap





کس طرح لوگ چلے جاتے ہیں اٹھ کر چپ چاپ 
ہم تو یہ دھیان میں لاتے ہوئے مرجاتے ہیں


یہ محبت کی کہانی نہیں مرتی لیکن 

لوگ کردار نبھاتے ہوئے مرجاتے ہیں



Na Khat Likhon Na Kalam Tujhse Rahy




نہ خط لکھوں نہ قلم تُجھ سے رہے
خاموشیوں کا یہی انتقام تجھ سے رہے


رہے بَس اتنا شناسائی کا بھرم باقی

اشارہ تن ہی دُعا و سلام تجھ سے رہے


نہ عہد تَرکِ تعلق نہ قربتیں پَہیم

بس اِک ربط مسلسل مادام تجھ سے رہے


یہی رہے تیرا نشتر تیرا طریقے علاج

اِسی طرح غَمِ دل کو دوام تجھ سے رہے


نظر میں عکس فِشاں ہو تیرے جمال کی دھوپ

دیارِ جان میں صدا رنگ شام تجھ سے رہے


اب سے بڑھ کے مجھے چاہیے بھی کیا آخر

دیارِ فن میں اگر میرا نام تجھ سے رہے



Pehly kbhi Dunya say Muhabbat Nhi Mangy




Pehly Kbhi Dunya Say Muhabbat Nhi Mangy,

Ya Qahat Tery Hijar Kay Doran Pada Ha.


Laonga Kahan Se Judai Ka Hosla




Laonga Kahan Se Judai Ka Hosla,

Kun Is Qadar Mery Qareeb Agay Ho Tum.


Monday, February 25, 2013

Mosam Mosam Lagtey Ho




Mosam Mosam Lagtey Ho
Jo Pal Pal Rang Badltey Ho ,

Tum Sawan Sawan Lagtey Ho
Jo Sadiyon Baad Barstey Ho ,

Tum Sapna Sapna Lagtey Ho
Jo Mujh Ko Kam Kam Dikhtey Ho .

Tum Pal Pal Mujh Sey Larrtey Ho
Phir Bhi Achey Lagtey Ho ,

Baat Tu Hay Sharmili si
Par Kehny Ko Dil Chahta Hay ,

Lo Aaj Tumhein Yeh Keh Dala
Tum Apny Apny Lagty Ho.....


Ham Nafas Ik Teri Aarzu Aur Main




Ham nafas.. ik teri aarzu aur main,

Koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahin
Aaina hai mere rubaru aur main,

Jugnuon ki talab ka sila yeh mila
Teergi hai mere chaar su.. aur main,

Khwaab ki titliyan jab ureen aankh say
Reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur main,

Raat bhar jaagtay hain sitaron talay
Tera lehja.. teri guftagu.. aur main,

Aankh main khwaab ki kirchiyan reh gayeen
Hath main qismaton ka lahu.. aur main,

Sochti hoon, kahan jaoon, kis say kahoon
Shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur main,

Ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
Ik tere hijr ki aabju.. aur main,

Daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
Ro diye hain.. teri aarzu.. aur main,

Raig-e-sehra huwe hain tere ishq main
Mere aihsaas ki aabru.. aur main,

Mere saahir.. bichartay samay reh gayeen
Teri aankhaiN mere chaar su.. aur main,

Kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
Aur koi na ho.. sirf tu.. aur main,

Aks-e-janan kii khair ho rabba
Khawab aankhon samait toota hay.


Bta Rah-e-Mohabbat Main




Bta Rah-e-Mohabbat main
Chalon mein kis tarah tanha,

Bina terey mere humdum
Chala mujh se nahi jata,

Meri khushio'n k sab khaakay
Tumharay bin adhooray hein,

Mere sapnay, meri ratein
Mere sab din adhooray hein,

Mera sapna jo haqiqat main
Jo youn tabdeel ho jaye,

Agar tum aa milo mujh se
Meri Takmeel Ho Jaye.


Kaash Woh Mout Hoti To



Kaash Woh Mout Hoti,
To Ek Din Mujhe Mil Hi Taati.